Sher on Tauba
We take vows many times
and many times we break our vows. There are several things that are simply irresistible like sin—be it small or big. Sin is sweet which makes us commit it again and again and abstain from the same yet again. Here is a selection that visits the idea and practice of abstinence and vows-breaking from various angles. You may like to read and enjoy this selection.
haa.e 'sīmāb' us kī majbūrī
jis ne kī ho shabāb meñ tauba
hae 'simab' us ki majburi
jis ne ki ho shabab mein tauba
piine se kar chukā thā maiñ tauba magar 'jalīl'
bādal kā rañg dekh ke nīyat badal ga.ī
pine se kar chuka tha main tauba magar 'jalil'
baadal ka rang dekh ke niyat badal gai
ham se mai-kash jo tauba kar baiTheñ
phir ye kār-e-savāb kaun kare
hum se mai-kash jo tauba kar baiThen
phir ye kar-e-sawab kaun kare
hamārī kashtī-e-tauba kā ye huā anjām
bahār aate hī ġharq-e-sharāb ho ke rahī
hamari kashti-e-tauba ka ye hua anjam
bahaar aate hi gharq-e-sharab ho ke rahi
-
Tag : Sharab
mujhe tauba kā puurā ajr miltā hai usī saa.at
koī zohra-jabīñ piine pe jab majbūr kartā hai
mujhe tauba ka pura ajr milta hai usi saat
koi zohra-jabin pine pe jab majbur karta hai
aap ke hote kisī aur ko chāhūñ tauba
kis taraf dhyān hai kyā aap ye farmāte haiñ
aap ke hote kisi aur ko chahun tauba
kis taraf dhyan hai kya aap ye farmate hain
sāqiyā dil meñ jo tauba kā ḳhayāl aatā hai
duur se aañkh dikhātā hai tirā jaam mujhe
saqiya dil mein jo tauba ka KHayal aata hai
dur se aankh dikhata hai tera jam mujhe
itnī pī hai ki ba.ad-e-tauba bhī
be-piye be-ḳhudī sī rahtī hai
itni pi hai ki baad-e-tauba bhi
be-piye be-KHudi si rahti hai
-
Tags : Bekhudiand 2 more
barsāt ke aate hī tauba na rahī baaqī
bādal jo nazar aa.e badlī merī nīyat bhī
barsat ke aate hi tauba na rahi baqi
baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi
-
Tag : Barish
ai shaiḳh marte marte bache haiñ piye baġhair
aasī hoñ ab jo tauba kareñ mai-kashī se ham
ai shaiKH marte marte bache hain piye baghair
aasi hon ab jo tauba karen mai-kashi se hum
baat saaqī kī na Taalī jā.egī
kar ke tauba toḌ Daalī jā.egī
the wishes of my saaqii I will not ignore
the vow of abstinence I take, will forthwith abjure
baat saqi ki na Tali jaegi
kar ke tauba toD Dali jaegi
the wishes of my saaqii I will not ignore
the vow of abstinence I take, will forthwith abjure
-
Tags : Famous shayariand 1 more
tauba khaḌī hai dar pe jo fariyād ke liye
ye mai-kada bhī kyā kisī qaazī kā ghar huā
tauba khaDi hai dar pe jo fariyaad ke liye
ye mai-kada bhi kya kisi qazi ka ghar hua
khanak jaate haiñ jab sāġhar to pahroñ kaan bajte haiñ
are tauba baḌī tauba-shikan āvāz hotī hai
khanak jate hain jab saghar to pahron kan bajte hain
are tauba baDi tauba-shikan aawaz hoti hai
vo kaun haiñ jinheñ tauba kī mil ga.ī fursat
hameñ gunāh bhī karne ko zindagī kam hai
who are those that seem to find the time for to repent
for us this life is too short to sin to heart's content
wo kaun hain jinhen tauba ki mil gai fursat
hamein gunah bhi karne ko zindagi kam hai
who are those that seem to find the time for to repent
for us this life is too short to sin to heart's content
-
Tag : Gunah
shirkat gunāh meñ bhī rahe kuchh savāb kī
tauba ke saath toḌiye botal sharāb kī
shirkat gunah mein bhi rahe kuchh sawab ki
tauba ke sath toDiye botal sharab ki
tauba kī rindoñ meñ gunjā.ish kahāñ
jab ye aa.egī nikālī jā.egī
tauba ki rindon mein gunjaish kahan
jab ye aaegi nikali jaegi
-
Tag : Rind
fatvā diyā hai muftī-e-abr-e-bahār ne
tauba kā ḳhuun bāda-kashoñ ko halāl hai
fatwa diya hai mufti-e-abr-e-bahaar ne
tauba ka KHun baada-kashon ko halal hai
duḳhtar-e-raz ne diye chhīñTe kuchh aise sāqiyā
paanī paanī ho ga.ī tauba har ik mai-ḳhvār kī
duKHtar-e-raz ne diye chhinTe kuchh aise saqiya
pani pani ho gai tauba har ek mai-KHwar ki
ham ne barsāt ke mausam meñ jo chāhī tauba
abr is zor se garjā ki ilāhī tauba
hum ne barsat ke mausam mein jo chahi tauba
abr is zor se garja ki ilahi tauba
un ke ruḳhsār pe Dhalke hue aañsū tauba
maiñ ne shabnam ko bhī sho.aloñ pe machalte dekhā
un ke ruKHsar pe Dhalke hue aansu tauba
main ne shabnam ko bhi shoalon pe machalte dekha
tark-e-mai hī samajh ise nāseh
itnī pī hai ki pī nahīñ jaatī
tark-e-mai hi samajh ise naseh
itni pi hai ki pi nahin jati
-
Tags : Famous shayariand 3 more
shikast-e-tauba kī tamhīd hai tirī tauba
zabāñ pe tauba 'mubārak' nigāh sāġhar par
shikast-e-tauba ki tamhid hai teri tauba
zaban pe tauba 'mubarak' nigah saghar par
mirī sharāb kī tauba pe jā na ai vaa.iz
nashe kī baat nahīñ e'tibār ke qābil
meri sharab ki tauba pe ja na ai waiz
nashe ki baat nahin e'tibar ke qabil
maiñ to jab mānūñ mirī tauba ke ba.ad
kar ke majbūr pilā de saaqī
main to jab manun meri tauba ke baad
kar ke majbur pila de saqi
jaam hai tauba-shikan tauba mirī jām-shikan
sāmne Dher haiñ TuuTe hue paimānoñ ke
jam hai tauba-shikan tauba meri jam-shikan
samne Dher hain TuTe hue paimanon ke
guzre haiñ mai-kade se jo tauba ke ba.ad ham
kuchh duur ādatan bhī qadam Dagmagā.e haiñ
guzre hain mai-kade se jo tauba ke baad hum
kuchh dur aadatan bhi qadam Dagmagae hain
-
Tag : Maikada