aa.e kuchh abr kuchh sharāb aa.e
is ke ba.ad aa.e jo azaab aa.e
aae kuchh abr kuchh sharab aae
is ke baad aae jo azab aae
-
Tags : Azaaband 1 more
gungunātī huī aatī haiñ falak se būñdeñ
koī badlī tirī pāzeb se Takrā.ī hai
gungunati hui aati hain falak se bunden
koi badli teri pazeb se Takrai hai
ye ek abr kā TukḌā kahāñ kahāñ barse
tamām dasht hī pyāsā dikhā.ī detā hai
ye ek abr ka TukDa kahan kahan barse
tamam dasht hi pyasa dikhai deta hai
go barastī nahīñ sadā āñkheñ
abr to baara maas hotā hai
go barasti nahin sada aankhen
abr to bara mas hota hai
abr barse to ināyat us kī
shāḳh to sirf duā kartī hai
abr barse to inayat us ki
shaKH to sirf dua karti hai
falak par uḌte jaate bādaloñ ko dekhtā huuñ maiñ
havā kahtī hai mujh se ye tamāshā kaisā lagtā hai
falak par uDte jate baadalon ko dekhta hun main
hawa kahti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai
-
Tags : Barishand 2 more
sabza o gul kahāñ se aa.e haiñ
abr kyā chiiz hai havā kyā hai
…
…
sabza o gul kahan se aae hain
abr kya chiz hai hawa kya hai
…
…
barsāt kā mazā tire gesū dikhā ga.e
aks āsmān par jo paḌā abr chhā ga.e
barsat ka maza tere gesu dikha gae
aks aasman par jo paDa abr chha gae
-
Tag : Zulf
ham ne barsāt ke mausam meñ jo chāhī tauba
abr is zor se garjā ki ilāhī tauba
hum ne barsat ke mausam mein jo chahi tauba
abr is zor se garja ki ilahi tauba
yā abr-e-karam ban ke baras ḳhushk zamīñ par
yā pyaas ke sahrā meñ mujhe jiinā sikhā de
ya abr-e-karam ban ke baras KHushk zamin par
ya pyas ke sahra mein mujhe jina sikha de
uTThā jo abr dil kī umañgeñ chamak uThīñ
lahrā.īñ bijliyāñ to maiñ lahrā ke pī gayā
uTTha jo abr dil ki umangen chamak uThin
lahrain bijliyan to main lahra ke pi gaya
-
Tag : Bijli
abr kī tīrgī meñ ham ko to
sūjhtā kuchh nahīñ sivā.e sharāb
abr ki tirgi mein hum ko to
sujhta kuchh nahin siwae sharab