aap sāgar haiñ to sairāb kareñ pyāse ko
aap bādal haiñ to mujh dasht pe saayā kījiye
aap sagar hain to sairab karen pyase ko
aap baadal hain to mujh dasht pe saya kijiye
-
Tags : Pyasand 2 more
ye mere dil kī havas dasht-e-be-karāñ jaisī
vo terī aañkh ke tevar samundaroñ vaale
ye mere dil ki hawas dasht-e-be-karan jaisi
wo teri aankh ke tewar samundaron wale
-
Tags : Eyesand 1 more
guzar kar dasht se 'sālim' junūñ ke
safar kī aabrū ho jā.ūñgā maiñ
guzar kar dasht se 'salim' junun ke
safar ki aabru ho jaunga main
-
Tag : Safar
yak-qalam kāġhaz-e-ātish-zada hai safha-e-dasht
naqsh-e-pā meñ hai tab-e-garmī-e-raftār hunūz
yak-qalam kaghaz-e-atish-zada hai safha-e-dasht
naqsh-e-pa mein hai tab-e-garmi-e-raftar hunuz