aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1987 | Bhiwandi, India
One of the famous young poets; simplicity is found in his couplets
hijratoñ ke karb ko aise chhupānā hai tumheñ
koī jab bhī haal pūchhe muskurānā hai tumheñ
hijraton ke karb ko aise chhupana hai tumhein
koi jab bhi haal puchhe muskurana hai tumhein
is parā.e shahr meñ ai kaash koī ye kahe
raat kā khānā hamāre saath khānā hai tumheñ
is parae shahr mein ai kash koi ye kahe
raat ka khana hamare sath khana hai tumhein
aisā na ho ki dostī bhī jaa.e haath se
ham haath meñ gulāb liye sochte rahe
aisa na ho ki dosti bhi jae hath se
hum hath mein gulab liye sochte rahe
ham 'jaun-eliyā' ke zamāne meñ dosto
'ġhālib' kā intiḳhāb liye sochte rahe
hum 'jaun-eliya' ke zamane mein dosto
'ghaalib' ka intiKHab liye sochte rahe
kyā ġhazab hai tajrabe kī bheñT tum hī chaḌh ga.e
tum se hī sīkhā thā ham ne dil dukhāne kā hunar
kya ghazab hai tajrabe ki bhenT tum hi chaDh gae
tum se hi sikha tha hum ne dil dukhane ka hunar
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books