Sher on Nasha
The idea and experience
of intoxication has been represented variously in poetry. It does not necessarily refer to a condition one reaches after consuming wine. In mystical poetry, intoxication is a state of rapport with the divine. In both the cases, intoxication is a higher state of being. Here are some verses on this experience.
nāseh ḳhatā muaaf suneñ kyā bahār meñ
ham iḳhtiyār meñ haiñ na dil iḳhtiyār meñ
naseh KHata muaf sunen kya bahaar mein
hum iKHtiyar mein hain na dil iKHtiyar mein
ab maiñ hudūd-e-hosh-o-ḳhirad se guzar gayā
Thukrāo chāhe pyaar karo maiñ nashe meñ huuñ
ab main hudud-e-hosh-o-KHirad se guzar gaya
Thukrao chahe pyar karo main nashe mein hun
-
Tag : Bekhudi
mai-ḳhāna-e-europe ke dastūr nirāle haiñ
laate haiñ surūr avval dete haiñ sharāb āḳhir
mai-KHana-e-europe ke dastur nirale hain
late hain surur awwal dete hain sharab aaKHir
na tum hosh meñ ho na ham hosh meñ haiñ
chalo mai-kade meñ vahīñ baat hogī
neither are you in your senses nor am I in mine
let us now go to the tavern and talk while we have wine
na tum hosh mein ho na hum hosh mein hain
chalo mai-kade mein wahin baat hogi
neither are you in your senses nor am I in mine
let us now go to the tavern and talk while we have wine
-
Tag : Maikada
ai gardisho tumheñ zarā tāḳhīr ho ga.ī
ab merā intizār karo maiñ nashe meñ huuñ
ai gardisho tumhein zara taKHir ho gai
ab mera intizar karo main nashe mein hun
-
Tag : Intezar
itnī pī hai ki ba.ad-e-tauba bhī
be-piye be-ḳhudī sī rahtī hai
itni pi hai ki baad-e-tauba bhi
be-piye be-KHudi si rahti hai
-
Tags : Bekhudiand 2 more
yahāñ koī na jī sakā na jī sakegā hosh meñ
miTā de naam hosh kā sharāb lā sharāb lā
yahan koi na ji saka na ji sakega hosh mein
miTa de nam hosh ka sharab la sharab la
-
Tag : Bekhudi
chale to paañv ke nīche kuchal ga.ī koī shai
nashe kī jhoñk meñ dekhā nahīñ ki duniyā hai
chale to panw ke niche kuchal gai koi shai
nashe ki jhonk mein dekha nahin ki duniya hai
ye vaa.iz kaisī bahkī bahkī bāteñ ham se karte haiñ
kahīñ chaḌh kar sharāb-e-ishq ke nashshe utarte haiñ
ye waiz kaisi bahki bahki baaten hum se karte hain
kahin chaDh kar sharab-e-ishq ke nashshe utarte hain
tā-marg mujh se tark na hogī kabhī namāz
par nashsha-e-sharāb ne majbūr kar diyā
ta-marg mujh se tark na hogi kabhi namaz
par nashsha-e-sharab ne majbur kar diya
itnī pī jaa.e ki miT jaa.e maiñ aur tū kī tamīz
yaanī ye hosh kī dīvār girā dī jaa.e
the formality of you and I should in wine be drowned
meaning that these barriers of sobriety be downed
itni pi jae ki miT jae main aur tu ki tamiz
yani ye hosh ki diwar gira di jae
the formality of you and I should in wine be drowned
meaning that these barriers of sobriety be downed
-
Tags : Bekhudiand 2 more
nasha TuuTā nahīñ hai maar khā kar
ki ham ne pī hai kam khaa.ī bahut hai
nasha TuTa nahin hai mar kha kar
ki hum ne pi hai kam khai bahut hai
nashsha thā zindagī kā sharāboñ se tez-tar
ham gir paḌe to maut uThā le ga.ī hameñ
nashsha tha zindagi ka sharabon se tez-tar
hum gir paDe to maut uTha le gai hamein
-
Tags : Mautand 1 more
nashshe meñ sūjhtī hai mujhe duur duur kī
naddī vo sāmne hai sharāb-e-tuhūr kī
nashshe mein sujhti hai mujhe dur dur ki
naddi wo samne hai sharab-e-tuhur ki
ḳhushk bātoñ meñ kahāñ hai shaiḳh kaif-e-zindagī
vo to pī kar hī milegā jo mazā piine meñ hai
o priest where is the pleasure in this world when dry and sere
tis only when one drinks will then the joy truly appear
KHushk baaton mein kahan hai shaiKH kaif-e-zindagi
wo to pi kar hi milega jo maza pine mein hai
o priest where is the pleasure in this world when dry and sere
tis only when one drinks will then the joy truly appear
-
Tags : Maikashiand 1 more
aalam se be-ḳhabar bhī huuñ aalam meñ bhī huuñ maiñ
saaqī ne is maqām ko āsāñ banā diyā
aalam se be-KHabar bhi hun aalam mein bhi hun main
saqi ne is maqam ko aasan bana diya
-
Tag : Bekhudi
tark-e-mai hī samajh ise nāseh
itnī pī hai ki pī nahīñ jaatī
tark-e-mai hi samajh ise naseh
itni pi hai ki pi nahin jati
-
Tags : Famous shayariand 3 more
āñkhoñ ko dekhte hī bole
bin piye koī mad.hosh aayā
aankhon ko dekhte hi bole
bin piye koi madhosh aaya
-
Tag : Eyes
mirī sharāb kī tauba pe jā na ai vaa.iz
nashe kī baat nahīñ e'tibār ke qābil
meri sharab ki tauba pe ja na ai waiz
nashe ki baat nahin e'tibar ke qabil
mai-kade meñ nashsha kī ainak dikhātī hai mujhe
āsmāñ mast o zamīñ mast o dar-o-dīvār mast
mai-kade mein nashsha ki ainak dikhati hai mujhe
aasman mast o zamin mast o dar-o-diwar mast
ye vāqi.a mirī āñkhoñ ke sāmne kā hai
sharāb naach rahī thī gilās baiThe rahe
ye waqia meri aankhon ke samne ka hai
sharab nach rahi thi gilas baiThe rahe
ham intizār kareñ ham ko itnī taab nahīñ
pilā do tum hameñ paanī agar sharāb nahīñ
hum intizar karen hum ko itni tab nahin
pila do tum hamein pani agar sharab nahin
log kahte haiñ raat biit chukī
mujh ko samjhāo! maiñ sharābī huuñ
log kahte hain raat bit chuki
mujh ko samjhao! main sharabi hun
-
Tag : Raat