Sher on Majburi
Helplessness is a terrible
state to be in. Those who are helpless can measure its pain but others can only be apathetic to this condition of living. Helplessness, however, also impels men to collect their strength in order to challenge the state of helplessness, and emerge victorious. Some of the verses here underline various states of helplessness we suffer.
kuchh to majbūriyāñ rahī hoñgī
yuuñ koī bevafā nahīñ hotā
she would have had compulsions surely
faithless without cause no one can be
kuchh to majburiyan rahi hongi
yun koi bewafa nahin hota
she would have had compulsions surely
faithless without cause no one can be
-
Tags : Bewafaiand 4 more
terī majbūriyāñ durust magar
tū ne va.ada kiyā thā yaad to kar
teri majburiyan durust magar
tu ne wada kiya tha yaad to kar
ye mere ishq kī majbūriyāñ ma.āz-allāh
tumhārā raaz tumhīñ se chhupā rahā huuñ maiñ
ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah
tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main
-
Tags : Ishqand 2 more
zindagī hai apne qabze meñ na apne bas meñ maut
aadmī majbūr hai aur kis qadar majbūr hai
zindagi hai apne qabze mein na apne bas mein maut
aadmi majbur hai aur kis qadar majbur hai
kursī hai tumhārā ye janāza to nahīñ hai
kuchh kar nahīñ sakte to utar kyoñ nahīñ jaate
kursi hai tumhaara ye janaza to nahin hai
kuchh kar nahin sakte to utar kyon nahin jate
haa.e re majbūriyāñ mahrūmiyāñ nākāmiyāñ
ishq āḳhir ishq hai tum kyā karo ham kyā kareñ
hae re majburiyan mahrumiyan nakaamiyan
ishq aaKHir ishq hai tum kya karo hum kya karen
mirī majbūriyāñ kyā pūchhte ho
ki jiine ke liye majbūr huuñ maiñ
meri majburiyan kya puchhte ho
ki jine ke liye majbur hun main
idhar se bhī hai sivā kuchh udhar kī majbūrī
ki ham ne aah to kī un se aah bhī na huī
idhar se bhi hai siwa kuchh udhar ki majburi
ki hum ne aah to ki un se aah bhi na hui
-
Tag : Aah
haa.e 'sīmāb' us kī majbūrī
jis ne kī ho shabāb meñ tauba
hae 'simab' us ki majburi
jis ne ki ho shabab mein tauba
zindagī jabr hai aur jabr ke āsār nahīñ
haa.e is qaid ko zanjīr bhī darkār nahīñ
zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin
hae is qaid ko zanjir bhi darkar nahin
-
Tags : Jabrand 1 more
kyā maslahat-shanās thā vo aadmī 'qatīl'
majbūriyoñ kā jis ne vafā naam rakh diyā
kya maslahat-shanas tha wo aadmi 'qatil'
majburiyon ka jis ne wafa nam rakh diya
ehsān zindagī pe kiye jā rahe haiñ ham
man to nahīñ hai phir bhī jiye jā rahe haiñ ham
ehsan zindagi pe kiye ja rahe hain hum
man to nahin hai phir bhi jiye ja rahe hain hum
vahshateñ ishq aur majbūrī
kyā kisī ḳhaas imtihān meñ huuñ
wahshaten ishq aur majburi
kya kisi KHas imtihan mein hun
-
Tags : Ishqand 1 more
jo kuchh paḌtī hai sar par sab uThātā hai mohabbat meñ
jahāñ dil aa gayā phir aadmī majbūr hotā hai
jo kuchh paDti hai sar par sab uThata hai mohabbat mein
jahan dil aa gaya phir aadmi majbur hota hai
maiñ chāhtā huuñ use aur chāhne ke sivā
mire liye to koī aur rāstā bhī nahīñ
main chahta hun use aur chahne ke siwa
mere liye to koi aur rasta bhi nahin
-
Tag : Ishq
maiñ ne sāmān-e-safar bāñdh ke phir khol diyā
ek tasvīr ne dekhā mujhe almārī se
main ne saman-e-safar bandh ke phir khol diya
ek taswir ne dekha mujhe almari se
na-jāne kaun sī majbūriyāñ haiñ jin ke liye
ḳhud apnī zaat se inkār karnā paḌtā hai
na-jaane kaun si majburiyan hain jin ke liye
KHud apni zat se inkar karna paDta hai
dushman mujh par ġhālib bhī aa saktā hai
haar mirī majbūrī bhī ho saktī hai
dushman mujh par ghaalib bhi aa sakta hai
haar meri majburi bhi ho sakti hai
-
Tags : Dushmanand 1 more
āzādiyoñ ke shauq o havas ne hameñ 'adīl'
ik ajnabī zamīn kā qaidī banā diyā
aazadiyon ke shauq o hawas ne hamein 'adil'
ek ajnabi zamin ka qaidi bana diya
rasm-o-rivāj chhoḌ ke sab aa ga.e yahāñ
rakkhī huī haiñ taaq meñ ab ġhairateñ tamām
rasm-o-riwaj chhoD ke sab aa gae yahan
rakkhi hui hain taq mein ab ghairaten tamam