ALL
Profile
Ghazal111
Sher86
E-book54
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari32
Audio58
Video58
Gallery 4
Blog1
Nasir Kazmi
Ghazal 111
Sher-o-Shayari 86
dil dhaḌakne kā sabab yaad aayā
vo tirī yaad thī ab yaad aayā
dil dhaDakne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya
-
Share this
- See Ghazal
aaj dekhā hai tujh ko der ke ba.ad
aaj kā din guzar na jaa.e kahīñ
aaj dekha hai tujh ko der ke baad
aaj ka din guzar na jae kahin
-
Share this
- See Ghazal
ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke bāvajūd
mahsūs kī hai terī zarūrat kabhī kabhī
ai dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawajud
mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi
-
Share this
- See Ghazal
vo koī dost thā achchhe dinoñ kā
jo pichhlī raat se yaad aa rahā hai
wo koi dost tha achchhe dinon ka
jo pichhli raat se yaad aa raha hai
-
Share this
- See Ghazal
aarzū hai ki tū yahāñ aa.e
aur phir umr bhar na jaa.e kahīñ
aarzu hai ki tu yahan aae
aur phir umr bhar na jae kahin
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 54
Image Shayari 32
dil me.n ik lahr sii uThii hai abhii ko.ii taaza havaa chalii hai abhii kuchh to naazuk mizaaj hai.n ham bhii aur ye choT bhii na.ii hai abhii shor barpaa hai KHaana-e-dil me.n ko.ii diivaar sii girii hai abhii bharii duniyaa me.n jii nahii.n lagtaa jaane kis chiiz kii kamii hai abhii tuu shariik-e-suKHan nahii.n hai to kyaa ham-suKHan terii KHaamushii hai abhii yaad ke be-nishaa.n jaziiro.n se terii aavaaz aa rahii hai abhii shahr kii be-charaaG galiyo.n me.n zindagii tujh ko Dhuu.nDtii hai abhii so ga.e log us havelii ke ek khi.Dkii magar khulii hai abhii tum to yaaro abhii se uTh baiThe shahr me.n raat jaagtii hai abhii vaqt achchhaa bhii aa.egaa 'naasir' Gam na kar zindagii pa.Dii hai abhii