ALL
Profile
Ghazal80
Sher72
E-book12
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari26
Audio38
Video3
Article1
Other
Ahmad Mushtaq
Ghazal 80
Sher-o-Shayari 72
patā ab tak nahīñ badlā hamārā
vahī ghar hai vahī qissa hamārā
pata ab tak nahin badla hamara
wahi ghar hai wahi qissa hamara
-
Share this
- See Ghazal
tanhā.ī meñ karnī to hai ik baat kisī se
lekin vo kisī vaqt akelā nahīñ hotā
tanhai mein karni to hai ek baat kisi se
lekin wo kisi waqt akela nahin hota
-
Share this
- See Ghazal
ek lamhe meñ bikhar jaatā hai tānā-bānā
aur phir umr guzar jaatī hai yakjā.ī meñ
ek lamhe mein bikhar jata hai tana-bana
aur phir umr guzar jati hai yakjai mein
-
Share this
- See Ghazal
tū agar paas nahīñ hai kahīñ maujūd to hai
tere hone se baḌe kaam hamāre nikle
tu agar pas nahin hai kahin maujud to hai
tere hone se baDe kaam hamare nikle
-
Share this
- See Ghazal
ahl-e-havas to ḳhair havas meñ hue zalīl
vo bhī hue ḳharāb, mohabbat jinhoñ ne kī
ahl-e-hawas to KHair hawas mein hue zalil
wo bhi hue KHarab, mohabbat jinhon ne ki
-
Share this
- See Ghazal
Article 1
BOOKS 12
Image Shayari 26
mil hii aate hai.n use aisaa bhii kyaa ho jaa.egaa bas yahii naa dard kuchh dil kaa sivaa ho jaa.egaa vo mire dil kii pareshaanii se afsurda ho kyuu.n dil kaa kyaa hai kal ko phir achchhaa bhalaa ho jaa.egaa ghar se kuchh KHvaabo.n se milne ke liye nikle the ham kyaa KHabar thii zindagii se saamnaa ho jaa.egaa rone lagtaa huu.n mohabbat me.n to kahtaa hai ko.ii kyaa tire ashko.n se ye jangal haraa ho jaa.egaa kaise aa saktii hai aisii dil-nashii.n duniyaa ko maut kaun kahtaa hai ki ye sab kuchh fanaa ho jaa.egaa
tham gayaa dard ujaalaa hu.aa tanhaa.ii me.n barq chamkii hai kahii.n raat kii gahraa.ii me.n baaG kaa baaG lahuu rang hu.aa jaataa hai vaqt masruuf hai kaisii chaman-aaraa.ii me.n shahr viiraan hu.e bahr bayaabaan hu.e KHaak u.Dtii hai dar o dasht kii pahnaa.ii me.n ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n us tamaashe me.n nahii.n dekhne vaalaa ko.ii is tamaashe ko jo barpaa hai tamaashaa.ii me.n
aaj ro kar to dikhaa.e ko.ii aisaa ronaa yaad kar ai dil-e-KHaamosh vo apnaa ronaa raqs karnaa kabhii KHvaabo.n ke shabistaano.n me.n kabhii yaado.n ke sutuuno.n se lipaTnaa ronaa tujh se siikhe ko.ii rone kaa saliiqa ai abr kahii.n qatra na giraanaa kahii.n dariyaa ronaa rasm-e-duniyaa bhii vahii raah-e-tamannaa bhii vahii vahii mil baiTh ke ha.nsnaa vahii tanhaa ronaa ye tiraa taur samajh me.n nahii.n aayaa 'mushtaaq' kabhii ha.nste chale jaanaa kabhii itnaa ronaa