Humaira Rahat
Ghazal 15
Nazm 11
Sher-o-Shayari 19
fasāna ab koī anjām paanā chāhtā hai
ta.alluq TūTne ko ik bahāna chāhtā hai
TRANSLATION
My tale is now looking for a conclusion,
An excuse is needed to end the relation.
Sagar Akbarabadi
fasana ab koi anjam pana chahta hai
talluq TuTne ko ek bahana chahta hai
TRANSLATION
My tale is now looking for a conclusion,
An excuse is needed to end the relation.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
jahāñ ik shaḳhs bhī miltā nahīñ hai chāhne se
vahāñ ye dil hathelī par zamāna chāhtā hai
jahan ek shaKHs bhi milta nahin hai chahne se
wahan ye dil hatheli par zamana chahta hai
-
Share this
- See Ghazal
mire dil ke akele ghar meñ 'rāhat'
udāsī jaane kab se rah rahī hai
mere dil ke akele ghar mein 'rahat'
udasi jaane kab se rah rahi hai
-
Share this
- See Ghazal
use bhī zindagī karnī paḌegī 'mīr' jaisī
suḳhan se gar koī rishta nibhānā chāhtā hai
use bhi zindagi karni paDegi 'mir' jaisi
suKHan se gar koi rishta nibhana chahta hai
-
Share this
- See Ghazal
vo mujh ko āzmātā hī rahā hai zindagī bhar
magar ye dil ab us ko āzmānā chāhtā hai
wo mujh ko aazmata hi raha hai zindagi bhar
magar ye dil ab us ko aazmana chahta hai
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 3
jo bujh ga.e the charaaG phir se jalaa rahaa hai ye kaun dil ke kivaa.D phir khaTkhaTaa rahaa hai muhiib qahtur-rijaal me.n bhii KHayaal teraa na.e manaazir na.e shaguufe khilaa rahaa hai vo giit jis me.n tirii kahaanii simaT ga.ii thii use na.ii tarz me.n ko.ii gungunaa rahaa hai mai.n vus.ato.n se bichha.D ke tanhaa na jii sakuu.ngaa mujhe na roko mujhe samundar bulaa rahaa hai vo jis ke dam se mai.n us kii yaado.n se munsalik huu.n use ye kahnaa vo ghaa.o bhii bhartaa jaa rahaa hai