aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1955 | California, USA
tumheñ hamesha zarūrat pakaḌ ke laatī hai
kabhī to aao mire ghar mire havāle se
tumhein hamesha zarurat pakaD ke lati hai
kabhi to aao mere ghar mere hawale se
ret ban kar mirī muTThī se phisal jaatī hai
ab mohabbat bhī sañbhālī nahīñ jaatī mujh se
ret ban kar meri muTThi se phisal jati hai
ab mohabbat bhi sanbhaali nahin jati mujh se
ai zindagī tū mire hausle kī daad to de
maiñ uTh ke roz nayā din gale lagātā huuñ
ai zindagi tu mere hausle ki dad to de
main uTh ke roz naya din gale lagata hun
maiñ ḳhud ko bhī nahīñ itnā mayassar
vo sau fīsad tavajjoh chāhtā hai
main KHud ko bhi nahin itna mayassar
wo sau fisad tawajjoh chahta hai
na jaane kaun sī ġhurbat hai merī āñkhoñ meñ
ki us badan meñ ḳhazāne talāsh kartā huuñ
na jaane kaun si ghurbat hai meri aankhon mein
ki us badan mein KHazane talash karta hun
Dr. Yaseen Aatir ki Shairi
Ishq Karamat
2024
Ishq Riyazat
2022
Ishq Waseela
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books