Sher of Ejaz Warsi
maiñ us ke aib us ko batātā bhī kis tarah
vo shaḳhs aaj tak mujhe tanhā nahīñ milā
main us ke aib us ko batata bhi kis tarah
wo shaKHs aaj tak mujhe tanha nahin mila
rāh-rau bach ke chal daraḳhtoñ se
dhuup dushman nahīñ hai saa.e haiñ
rah-rau bach ke chal daraKHton se
dhup dushman nahin hai sae hain
aap aa.e haiñ haal pūchhā hai
ham ne aise bhī ḳhvāb dekhe haiñ
aap aae hain haal puchha hai
hum ne aise bhi KHwab dekhe hain
chaḌhte sūraj kī mudārāt se pahle 'ejāz'
soch lo kitne charāġh us ne bujhā.e hoñge
chaDhte suraj ki mudaraat se pahle 'ejaz'
soch lo kitne charagh us ne bujhae honge
barsoñ meñ bhī chhū jaa.e kisī ko to ġhanīmat
ḳhushbu-e-vafā yaaro baḌī sust-qadam hai
barson mein bhi chhu jae kisi ko to ghanimat
KHushbu-e-wafa yaro baDi sust-qadam hai
ai sañg-e-āstāñ mire sajdoñ kī laaj rakh
aayā huuñ e'tirāf-e-shikast-e-ḳhudī liye
ai sang-e-astan mere sajdon ki laj rakh
aaya hun e'tiraf-e-shikast-e-KHudi liye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
darbānoñ tak ke chehre ra.ūnat se masḳh haiñ
dast-e-talab liye hue phir bhī khaḌe haiñ log
darbanon tak ke chehre raunat se masKH hain
dast-e-talab liye hue phir bhi khaDe hain log