Sher of Faiz Ludhianvi
tū nayā hai to dikhā sub.h na.ī shaam na.ī
varna in āñkhoñ ne dekhe haiñ na.e saal ka.ī
tu naya hai to dikha subh nai sham nai
warna in aankhon ne dekhe hain nae sal kai
aql gum hai dil pareshāñ hai nazar betāb hai
justujū se bhī nahīñ miltā surāġh-e-zindagī
aql gum hai dil pareshan hai nazar betab hai
justuju se bhi nahin milta suragh-e-zindagi
ġharībī kis balā kā naam hai un kī balā jaane
ḳhudā hai jin kī daulat jin kā sheva zar-parastī hai
gharibi kis bala ka nam hai un ki bala jaane
KHuda hai jin ki daulat jin ka shewa zar-parasti hai