Sher of Fana bulandshahri
kyā bhuul ga.e haiñ vo mujhe pūchhnā qāsid
naama koī muddat se mire kaam na aayā
kya bhul gae hain wo mujhe puchhna qasid
nama koi muddat se mere kaam na aaya
is jahāñ meñ nahīñ koī ahl-e-vafā
ai 'fanā' is jahāñ se kinārā karo
is jahan mein nahin koi ahl-e-wafa
ai 'fana' is jahan se kinara karo
uThā parda to mahshar bhī uThegā dīda-e-dil meñ
qayāmat chhup ke baiThī hai naqāb-e-rū-e-qātil meñ
uTha parda to mahshar bhi uThega dida-e-dil mein
qayamat chhup ke baiThi hai naqab-e-ru-e-qatil mein
āġhāz to achchhā thā 'fanā' din bhī bhale the
phir raas mujhe ishq kā anjām na aayā
aaghaz to achchha tha 'fana' din bhi bhale the
phir ras mujhe ishq ka anjam na aaya
ai 'fanā' merī mayyat pe kahte haiñ vo
aap ne apnā va.ada vafā kar diyā
ai 'fana' meri mayyat pe kahte hain wo
aap ne apna wada wafa kar diya