Farigh Bukhari
Ghazal 36
Nazm 5
Sher-o-Shayari 20
safar meñ koī kisī ke liye Thahartā nahīñ
na muḌ ke dekhā kabhī sāhiloñ ko dariyā ne
safar mein koi kisi ke liye Thaharta nahin
na muD ke dekha kabhi sahilon ko dariya ne
-
Share this
- See Ghazal
yaad ā.eñge zamāne ko misāloñ ke liye
jaise bosīda kitābeñ hoñ havāloñ ke liye
yaad aaenge zamane ko misalon ke liye
jaise bosida kitaben hon hawalon ke liye
-
Share this
- See Ghazal
kitne shikve gile haiñ pahle hī
raah meñ fāsle haiñ pahle hī
kitne shikwe gile hain pahle hi
rah mein fasle hain pahle hi
-
Share this
- See Ghazal
do dariyā bhī jab aapas meñ milte haiñ
donoñ apnī apnī pyaas bujhāte haiñ
do dariya bhi jab aapas mein milte hain
donon apni apni pyas bujhate hain
-
Share this
- See Ghazal
na.ī manzil kā junūñ tohmat-e-gumrāhī hai
pā-shikasta bhī tirī raah meñ kahlāyā huuñ
nai manzil ka junun tohmat-e-gumrahi hai
pa-shikasta bhi teri rah mein kahlaya hun
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 23
Image Shayari 2
yaad aa.e.nge zamaane ko misaalo.n ke liye jaise bosiida kitaabe.n ho.n havaalo.n ke liye dekh yuu.n vaqt kii dahliiz se Takraa ke na gir raaste band nahii.n sochne vaalo.n ke liye aa.o ta.amiir kare.n apnii vafaa kaa ma.abad ham na masjid ke liye hai.n na shivaalo.n ke liye saalhaa-saal aqiidat se khulaa rahtaa hai munfarid raaho.n kaa aaGosh jiyaalo.n ke liye raat kaa karb hai gulbaa.ng-e-sahar kaa KHaaliq pyaar kaa giit hai ye dard ujaalo.n ke liye shab-e-furqat me.n sulagtii hu.ii yaado.n ke sivaa aur kyaa rakkhaa hai ham chaahne vaalo.n ke liye