Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fatima Taj's Photo'

Fatima Taj

1948 | Hyderabad, India

Sher of Fatima Taj

maanā ki virāsat meñ milī ḳhāna-badoshī

lekin ye zamīñ chhoḌ ke ham nahīñ sakte

mana ki wirasat mein mili KHana-badoshi

lekin ye zamin chhoD ke hum ja nahin sakte

maanā ki āshiyānoñ ta.amīr ho ga.ī

apnā to āshiyāñ hameñ jaltā huā milā

mana ki aashiyanon ki tamir ho gai

apna to aashiyan hamein jalta hua mila

kyā aap zamāne ko ye samjhā nahīñ sakte

ab TuuTe khilaune hameñ bahlā nahīñ sakte

kya aap zamane ko ye samjha nahin sakte

ab TuTe khilaune hamein bahla nahin sakte

ye shahr hamārā hai sabhī log haiñ apne

ham log parā.e kabhī kahlā nahīñ sakte

ye shahr hamara hai sabhi log hain apne

hum log parae kabhi kahla nahin sakte

ahl-e-ḳhirad ko ab bhī nahīñ hai koī ḳhabar

ahl-e-junūñ bhī karte haiñ fikr-o-nazar baat

ahl-e-KHirad ko ab bhi nahin hai koi KHabar

ahl-e-junun bhi karte hain fikr-o-nazar ki baat

is shahr-e-tamannā meñ kyā chhāñv mile mujh ko

hai dhuup ke dāman meñ taptā huā ghar merā

is shahr-e-tamanna mein kya chhanw mile mujh ko

hai dhup ke daman mein tapta hua ghar mera

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now