Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fikr Taunsvi's Photo'

Fikr Taunsvi

1918 - 1987 | Delhi, India

A distinguished humorist of Urdu literature.

Quotes of Fikr Taunsvi

1.7K
Favorite

SORT BY

Jab aap ghar mein kisi ko gandi gaali nikaalte hain, to aapka bachcha use maatr bhasha ka hissa samajh kar apna leta hai.

Kabhi-kabhi koi intihaai ghatiya aadmi aapko intihaai badhiya mashwara de jaata hai. Magar aah! ki aap mashware ki taraf kam dekhte hain, ghatiya aadmi ki taraf ziyaada.

Kunwaari ladki us waqt tak apna birth-day manaati rahti hai, jab tak woh honeymoon manaane ke kaabil nahi ho jaati.

Aap dimaaghi taur par aleel hain, to jismaani mazbooti se aap shifa nahi paa sakte.

Action karne wala actor kahlaata hai aur waa'de karne wala leader kahlaata hai.

Khuda ne gunaah ko pahle paida nahi kiya. Insaan ko pahle paida kar diya. Ye soch kar ki ab ye khud-ba-khud gunaah paida karega.

Aurat ka husn sirf us waqt tak bar-qaraar rahta hai, jab tak uske sana-khwaan maujood ho.

Apni aarzoo ki umr ko taweel banaana chaho, to use kabhi poora na hone do.

Humein dushman se jhagadne ke baad hi woh gaali yaad aati hai, jo dushman ki gaali se ziyaada karaari aur teekhi thi.

Jamhooriyat... sarmaaya-daari ka woh khushnuma hathiyaar hai, jo mazdoor ko kabhi sar nahi ubhaarne deta.

Hum waa'da karte hain, to kisi umeed par. Lekin jab waa'da poora karne lagte hain, to kisi dar ke maare.

Us aurat ki kisi bhi baat ka e‘tibaar na karo, jo Khuda ki qasam kha kar apni umr sahi bata deti hai.

Aurat apni sahi umr isliye nahi bata sakti, kyunki use uski jawaani yaad rahti hai, umr nahi.

Umr aurat ka eik besh-qeemat zevar hai, jise woh hamesha eik dibiya mein band rakhti hai. Kabhi kholti nahi.

Biwi aapko ghar ka koi kaam karne ke liye uthaayegi, magar karne nahi degi. Kyunki us kaam ka credit woh khud lena chaahati hai.

Aapke andar ta'assub us waqt ji uthta hai, jab aapka nasb-ul-ain mar jaata hai.

Sirf wahi cheez khaani aur peeni chahiye, jiski hidaayat aapke andar baitha hua doctor de.

Mard ka dil eik kamra hai, jismein sirf eik aurat rah sakti hai. Lekin dil ke aas-paas bahut se aise kamre bhi hote hain, jo kabhi khaali nahi rahte.

Jawaani, eik bahut badi ghalti hai. Adhed umr, eik bahut badi jadd-o-jahad. Budhaapa, faqat maa'zrat.

Sarmaaya-daar ka gunaah usi tarah khoobsurat hota hai, jaise uski kothi ka main gate khoobsurat hota hai.

Durghatna, jo tal gayi woh aapke liye nahi thi. Kisi doosre ke liye thi.

Jo aadmi khud kisi museebat mein ho, uske mashware par amal mat karo.

Aap sadak par tez-raftaar se aate hue truck se itna nahi ghabraate, jitna us haadse ke tasavvur se ghabraate hain jo truck guzarne ke baad pesh nahi aata.

Badhti-chadhti mahngaai ke zamaane mein sirf eik cheez sasti hai... mashwara.

Bad-niyat aadmi ko nek mashwara dena aisa hai jaise doctor apne ghareeb mareez ko ye mashwara deta hai ki is dawaai ke saath rozana dhaai sau garaam angoor bhi khaaya karo.

Janaaza koi buri cheez nahi, basharte ki doosron ka ho.

Insaan woh khaane ke liye muztarib ho jaata hai, jise khane ke liye use mana kar diya gaya ho.

Aapne ghar ka koi behtareen kaam kar diya, to iski daad aapki biwi se bhi nahi milegi, jo aapse behtar kaam ki tawaqqo' nahi rakhti thi.

Aurat ka zevar chori ho jaaye to woh apne khaawand tak ko chhor kahne se baaz nahi aayegi.

Be-qasoor aadmi jab tak qasoor na kare, sarmaaya-daaraana samaaj mein koi faaeda nahi utha sakta.

Khoobsurat aurat ke mashwara se bilkul bar-aks amal karo. Nateeja khush-gawaar niklega.

Kai ladkiyaan eik cigarette ki tarah hoti hain. Cigarette ko sulgaao, kash kheecho aur munh ka maza kharaab karo... magar woh ladkiyaan aapki kharaabi par badi mutma‘in ho jaati hain.

Agar kisi mas‘ale par das aalim-o-faazil hazraat muttafiq ho jaayen, to us ittifaaq-e-raaye mein zaroor koi ghalti hogi.

Angrez hamesha us mulaazim ko pasand karta hai, ji smein aql kam aur itaa‘at ziyaada ho.

Agar aap apni himaaqat ko yaqeeni banaana chaahte hain, to daanish-mandon ki mahfil mein ja kar baith jaaiye, jo aapse kam ahmaqana baatein nahi karte.

Jo aadmi sattar baras ki umr mein bhi qahqahaa laga sakta hai woh chaalis saala aadmi se bhi ziyaada jawaan hai, jo eik lateefa bhi na sun sakta hai, na suna sakta hai.

Diyaanat-daari se bahut raseela phal milta hai, magar kuch logon ko ye raseela-pan na-mauzoon lagta hai.

Taa'teel ke din agar aap maa'mool se hat kar nahi jeete, to taa'teel ko zibah karte hain, doosre dino ki tarah.

Eik aazaad aadmi faqat us waqt tak aazaad hai, jab tak woh apni zindagi ko mansooba-bandi ka ghulaam nahi bana leta.

Saanp ne Aadam ko daana-e-gandum khilaane ka mashwara is dar se diya tha ki kaheen Aadam saanp ko hi na kha jaayein.

Jis aurat ki umr apne khaawind ki umr se bees saal ziyaada ho, woh apne khaawind ko ‘Waleed Sahab’ bhi kah sakti hai.

Siyaasi leader ki fitrat mein nisf duroogh-bayaani bhi hoti hai, jise woh poori sachchai ke taur par manwa leta hai.

Har aadmi us waqt daant kaatne ko daudta hai, jab woh masnoo‘ī daanton ki plate laga chuka hota hai.

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now