Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
George Puech Shor's Photo'

George Puech Shor

1823 - 1894 | Meerut, India

George Puech Shor

Ghazal 3

 

Sher-o-Shayari 20

dil meñ apne aarzū sab kuchh hai aur phir kuchh nahīñ

do jahāñ justujū sab kuchh hai aur phir kuchh nahīñ

dil mein apne aarzu sab kuchh hai aur phir kuchh nahin

do jahan ki justuju sab kuchh hai aur phir kuchh nahin

  • Share this

guzishta saal jo dekhā vo ab saal nahīñ

zamāna ek bas har baras nahīñ chaltā

guzishta sal jo dekha wo ab ki sal nahin

zamana ek sa bas har baras nahin chalta

  • Share this

ik nazar ne kiyā hai kaam tamām

aarzū bhī to thī yahī dil

ek nazar ne kiya hai kaam tamam

aarzu bhi to thi yahi dil ki

  • Share this

dete na dil jo tum ko to kyuuñ bantī jaan par

kuchh aap ḳhatā na thī apnā qusūr thā

dete na dil jo tum ko to kyun banti jaan par

kuchh aap ki KHata na thi apna qusur tha

isī ḳhayāl meñ din-rāt maiñ taḌaptā huuñ

tumhīñ qarār bhī doge jo be-qarār kiyā

isi KHayal mein din-raat main taDapta hun

tumhin qarar bhi doge jo be-qarar kiya

  • Share this

Rubai 8

BOOKS 4

 

More Authors From "Meerut"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now