Sher of Habeeb Hashmi
har shab-e-ġham kī sahar ho ye zarūrī hai magar
sab kī tābinda sahar ho ye zarūrī to nahīñ
har shab-e-gham ki sahar ho ye zaruri hai magar
sab ki tabinda sahar ho ye zaruri to nahin
safar kī āḳhirī manzil meñ paas aayā hai
tamām umr thā jo duur āsmāñ kī tarah
safar ki aaKHiri manzil mein pas aaya hai
tamam umr tha jo dur aasman ki tarah
shab kī tanhā.ī meñ ubhrī huī āvāz-e-jaras
sub.h-gā.ī kā gajar ho ye zarūrī to nahīñ
shab ki tanhai mein ubhri hui aawaz-e-jaras
subh-gai ka gajar ho ye zaruri to nahin
sarhad-e-dasht se ābādī ko jaane vaalo
shahar meñ aur bhī ḳhūñ-rez nazāre hoñge
sarhad-e-dasht se aabaadi ko jaane walo
shahar mein aur bhi KHun-rez nazare honge
na maiñ ḳhasta-hāl hotā na ye ajnabī se lagte
ye hasīñ hasīñ farishte mujhe aadmī se lagte
na main KHasta-haal hota na ye ajnabi se lagte
ye hasin hasin farishte mujhe aadmi se lagte