Hanif Fauq
Ghazal 11
Sher-o-Shayari 12
ik janam ke pyāse bhī sair hoñ to ham jāneñ
yuuñ to rahmat-e-yazdāñ chār-sū barastī hai
ek janam ke pyase bhi sair hon to hum jaanen
yun to rahmat-e-yazdan chaar-su barasti hai
-
Share this
- See Ghazal
vaqt kī laash pe rone ko jigar hai kis kā
kis janāze ko liye ahl-e-nazar aate haiñ
waqt ki lash pe rone ko jigar hai kis ka
kis janaze ko liye ahl-e-nazar aate hain
-
Share this
- See Ghazal
udaas rātoñ kī tīrgī meñ na koī taarā na koī jugnū
kisī kā naqsh-e-qadam hī chamke to nuur kā e'tibār aa.e
udas raaton ki tirgi mein na koi tara na koi jugnu
kisi ka naqsh-e-qadam hi chamke to nur ka e'tibar aae
-
Share this
- See Ghazal
phir mashiyyat se ulajhtī hai mirī dīvāngī
nāla-e-shab-gīr ashkoñ ke guhar kaafī nahīñ
phir mashiyyat se ulajhti hai meri diwangi
nala-e-shab-gir ashkon ke guhar kafi nahin
-
Share this
- See Ghazal
shaam kī bhīgī huī palkoñ meñ phir
koī aañsū aa.e aur taarā bane
sham ki bhigi hui palkon mein phir
koi aansu aae aur tara bane
-
Share this
- See Ghazal