Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Hayat Lakhnavi

1931 - 2006 | Lucknow, India

Hayat Lakhnavi

Ghazal 13

Nazm 2

 

Sher-o-Shayari 8

ḳhudā ke vāste mohr-e-sukūt toḌ bhī de

tamām shahr tirī guftugū pyāsā hai

KHuda ke waste mohr-e-sukut toD bhi de

tamam shahr teri guftugu ka pyasa hai

ab diloñ meñ koī gunjā.ish nahīñ miltī 'hayāt'

bas kitāboñ meñ likkhā harf-e-vafā rah jā.egā

ab dilon mein koi gunjaish nahin milti 'hayat'

bas kitabon mein likkha harf-e-wafa rah jaega

chehre ko tere dekh ke ḳhāmosh ho gayā

aisā nahīñ savāl tirā lā-javāb thā

chehre ko tere dekh ke KHamosh ho gaya

aisa nahin sawal tera la-jawab tha

ye iltijā duā ye tamannā fuzūl hai

sūkhī nadī ke paas samundar na jā.egā

ye iltija dua ye tamanna fuzul hai

sukhi nadi ke pas samundar na jaega

ye jazba-e-talab to mirā mar na jā.egā

tum bhī agar miloge to bhar na jā.egā

ye jazba-e-talab to mera mar na jaega

tum bhi agar miloge to ji bhar na jaega

BOOKS 6

 

Image Shayari 1

 

RELATED Authors

More Authors From "Lucknow"

Recitation

Speak Now