Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Husna Sarwar's Photo'

Husna Sarwar

1939 | Mysore, India

Husna Sarwar

Sher-o-Shayari 9

dil ke āñgan meñ añdherā hai bahut

chāñd ban kar utar aao to sahī

dil ke aangan mein andhera hai bahut

chand ban kar utar aao to sahi

  • Share this

jaagī kirneñ to sabze par jhilmil aañsū bol uThe

raat ko tanhā.ī meñ shabnam chupke chupke roī hai

jagi kirnen to sabze par jhilmil aansu bol uThe

raat ko tanhai mein shabnam chupke chupke roi hai

  • Share this

shahr-dar-shahr bhaTakte rahe umr tamām

kyā tire haath rekhāoñ meñ ārām nahīñ

shahr-dar-shahr bhaTakte hi rahe umr tamam

kya tere hath ki rekhaon mein aaram nahin

  • Share this

baiThe baiThe yuuñ tanhā.ī ke sahrāoñ meñ

dard ret pe likhte haiñ tirā naam aksar

baiThe baiThe yun hi tanhai ke sahraon mein

dard ki ret pe likhte hain tera nam aksar

  • Share this

tirī nigāh meñ ye jo kiran kāñptī hai

dayār-e-dil meñ ye kaisā charāġh jaltā hai

teri nigah mein ye jo kiran si kanpti hai

dayar-e-dil mein ye kaisa charagh jalta hai

  • Share this

Ghazal 7

Nazm 2

 

Geet 1

 

BOOKS 6

 

More Authors From "Mysore"

 

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now