Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Husna Sarwar's Photo'

Husna Sarwar

1939 | Mysore, India

Sher of Husna Sarwar

jaagī kirneñ to sabze par jhilmil aañsū bol uThe

raat ko tanhā.ī meñ shabnam chupke chupke roī hai

jagi kirnen to sabze par jhilmil aansu bol uThe

raat ko tanhai mein shabnam chupke chupke roi hai

dil ke āñgan meñ añdherā hai bahut

chāñd ban kar utar aao to sahī

dil ke aangan mein andhera hai bahut

chand ban kar utar aao to sahi

shahr-dar-shahr bhaTakte rahe umr tamām

kyā tire haath rekhāoñ meñ ārām nahīñ

shahr-dar-shahr bhaTakte hi rahe umr tamam

kya tere hath ki rekhaon mein aaram nahin

baiThe baiThe yuuñ tanhā.ī ke sahrāoñ meñ

dard ret pe likhte haiñ tirā naam aksar

baiThe baiThe yun hi tanhai ke sahraon mein

dard ki ret pe likhte hain tera nam aksar

jhiil meñ chāñdnī aks-e-jamīl

tirī yaad dil se guzrī hai

jhil mein chandni ka aks-e-jamil

ya teri yaad dil se guzri hai

maiñ apnī zaat meñ gum be-ḳhudī meñ rahtī huuñ

sabā tarah koī chheḌe gudgudā.e mujhe

main apni zat mein gum be-KHudi mein rahti hun

saba ki tarah koi chheDe gudgudae mujhe

tirī nigāh meñ ye jo kiran kāñptī hai

dayār-e-dil meñ ye kaisā charāġh jaltā hai

teri nigah mein ye jo kiran si kanpti hai

dayar-e-dil mein ye kaisa charagh jalta hai

duur tak jāgtā hai sannāTā

kaun aatā hai itnī raat ga.e

dur tak jagta hai sannaTa

kaun aata hai itni raat gae

chhan se ik mūrtī kahīñ TuuTī

haath ye kis ke thartharā.e haiñ

chhan se ek murti kahin TuTi

hath ye kis ke thartharae hain

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now