Sher of Khalid Hasan Qadiri
bahut haiñ sajda-gāheñ par dar-e-jānāñ nahīñ miltā
hazāroñ devtā haiñ har taraf insāñ nahīñ miltā
bahut hain sajda-gahen par dar-e-jaanan nahin milta
hazaron dewta hain har taraf insan nahin milta
na aa.e tum na aao tum ki ab aane se kyā hāsil
ḳhud ab to ham se apnī shakl pahchānī nahīñ jaatī
na aae tum na aao tum ki ab aane se kya hasil
KHud ab to hum se apni shakl pahchani nahin jati
mirī jaañ terī ḳhātir jaañ kā saudā
bahut mahñgā bhī hai dushvār bhī hai
meri jaan teri KHatir jaan ka sauda
bahut mahnga bhi hai dushwar bhi hai
ghuTan to dil kī rahī qasr-e-marmarīñ meñ bhī
na raushnī se huā kuchh na kuchh havā se huā
ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi
na raushni se hua kuchh na kuchh hawa se hua
tumhāre naam pe dil ab bhī ruk sā jaatā hai
ye baat vo hai ki is se mafar nahīñ hotā
tumhaare nam pe dil ab bhi ruk sa jata hai
ye baat wo hai ki is se mafar nahin hota
kis se pūchheñ ki ham kidhar jaa.eñ
yaad ab ham ko vo galī hī nahīñ
kis se puchhen ki hum kidhar jaen
yaad ab hum ko wo gali hi nahin
ye vaqfa sā.atoñ kā chand sadiyoñ ke barābar hai
vo ab āvāz dete haiñ to pahchānī nahīñ jaatī
ye waqfa saaton ka chand sadiyon ke barabar hai
wo ab aawaz dete hain to pahchani nahin jati
vo kahāñ aur harf-e-talḳh kahāñ
tum ne kī hogī ishti.āl kī baat
wo kahan aur harf-e-talKH kahan
tum ne ki hogi ishtial ki baat
aadmī haiñ chand-din meñ mar raheñge dekhnā
ham hazāroñ saal duniyā meñ raheñ patthar nahīñ
aadmi hain chand-din mein mar rahenge dekhna
hum hazaron sal duniya mein rahen patthar nahin
hijr kī baat yā visāl kī baat
dil ne phir kī tire malāl kī
hijr ki baat ya visal ki baat
dil ne phir ki tere malal ki
sadā-e-shahr fusūñ hai nazar na dar se haTā
vo misl-e-sañg huā jis ne lauT kar dekhā
sada-e-shahr fusun hai nazar na dar se haTa
wo misl-e-sang hua jis ne lauT kar dekha
me.arāj-e-kamāl-e-qudūsī, āġhāz-e-shu.ūr-e-insāñ hai
kyā koī haqīqat-e-tajrīdī, alfāz meñ bhī mahsūr huii?
mearaj-e-kamal-e-qudusi, aaghaz-e-shuur-e-insan hai
kya koi haqiqat-e-tajridi, alfaz mein bhi mahsur hui?
mar miTe ahl-e-hāl lab na khule
harf-e-mansūr sirf qaal kī baat
mar miTe ahl-e-haal lab na khule
harf-e-mansur sirf qal ki baat
mushkil inkār husn ko ho magar
saḳht hai ishq par savāl kī baat
mushkil inkar husn ko ho magar
saKHt hai ishq par sawal ki baat