Sher of Khwaja Razi Haidar
guzrī jo rahguzar meñ use darguzar kiyā
aur phir ye tazkira kabhī jā kar na ghar kiyā
guzri jo rahguzar mein use darguzar kiya
aur phir ye tazkira kabhi ja kar na ghar kiya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nahīñ ehsās tum ko rā.egānī kā hamārī
suhulat se tumheñ shāyad mayassar ho ga.e haiñ
nahin ehsas tum ko raegani ka hamari
suhulat se tumhein shayad mayassar ho gae hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ā.īne meñ aur āb-e-ravāñ meñ thā tirā aks
shāyad ki mirā dīda-e-tar terī taraf thā
aaine mein aur aab-e-rawan mein tha tera aks
shayad ki mera dida-e-tar teri taraf tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kab tak ai bād-e-sabā tujh se tavaqqo rakkhūñ
dil tamannā kā shajar hai to harā ho bhī chukā
kab tak ai baad-e-saba tujh se tawaqqo rakkhun
dil tamanna ka shajar hai to hara ho bhi chuka
maiñ ne pūchhā ki koī dil-zadagāñ kī hai misāl
kis tavaqquf se kahā us ne ki haañ tum aur maiñ
main ne puchha ki koi dil-zadagan ki hai misal
kis tawaqquf se kaha us ne ki han tum aur main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download