Lal Chand Falak
Nazm 3
Sher-o-Shayari 4
BOOKS 24
Image Shayari 2
KHauf-e-aafat se kahaa.n dil me.n riyaa aa.egii baat sachchii hai jo vo lab pe sadaa aa.egii dil se niklegii na mar kar bhii vatan kii ulfat merii miTTii se bhii KHushbu-e-vafaa aa.egii mai.n uThaa luu.ngaa ba.De shauq se us ko sar par KHidmat-e-qaum-o-vatan me.n jo balaa aa.egii saamnaa sabr o shujaa.at se karuu.ngaa mai.n bhii khi.nch ke mujh tak jo kabhii teG-e-jafaa aa.egii Gair zo.am aur KHudii se jo karegaa hamla merii imdaad ko KHud zaat-e-KHudaa aa.egii aatmaa huu.n mai.n badal Daaluu.ngaa fauran cholaa kyaa bigaa.Degii agar merii qazaa aa.egii KHuun ro.egii samaa par mere marne pe shafaq Gam manaane ke liye kaalii ghaTaa aa.egii abr-e-tar ashk bahaa.egaa mire laashe par KHaak u.Daane ke liye baad-e-sabaa aa.egii zindagaanii me.n to milne se jhijaktii hai 'falak' KHalq ko yaad mirii ba.ad-e-fanaa aa.egii