Mahesh Chandra Naqsh
Ghazal 26
Sher-o-Shayari 25
is Dūbte sūraj se to ummīd hī kyā thī
hañs hañs ke sitāroñ ne bhī dil toḌ diyā hai
is Dubte suraj se to ummid hi kya thi
hans hans ke sitaron ne bhi dil toD diya hai
-
Share this
- See Ghazal
haal kah dete haiñ nāzuk se ishāre akasr
kitnī ḳhāmosh nigāhoñ kī zabāñ hotī hai
haal kah dete hain nazuk se ishaare akasr
kitni KHamosh nigahon ki zaban hoti hai
-
Share this
- See Ghazal
ḳhud-shanāsī thī justujū terī
tujh ko DhūñDā to aap ko paayā
KHud-shanasi thi justuju teri
tujh ko DhunDa to aap ko paya
-
Share this
- See Ghazal
un ke gesū sañvarte jaate haiñ
hādse haiñ guzarte jaate haiñ
un ke gesu sanwarte jate hain
hadse hain guzarte jate hain
-
Share this
- See Ghazal
shām-e-hijrāñ bhī ik qayāmat thī
aap aa.e to mujh ko yaad aayā
sham-e-hijran bhi ek qayamat thi
aap aae to mujh ko yaad aaya
-
Share this
- See Ghazal
Qita 23
Image Shayari 1
tasviir-e-zindagii me.n nayaa rang bhar ga.e vo haadse jo dil pe hamaare guzar ga.e duniyaa se haT ke ik na.ii duniyaa banaa sake.n kuchh ahl-e-aarzuu isii hasrat me.n mar ga.e niklaa jo qaafile se na.ii justujuu liye kuchh duur saath saath mire raahbar ga.e naira.ngiyaa.n chaman kii pashemaan ho ga.ii.n ruKH par kisii ke aaj jo gesuu bikhar ga.e phuuTii jo us jabii.n se inaayat kii ik kiran maGmuum aarzuu.o.n ke chehre nikhar ga.e har shai se be-niyaaz rahe jin me.n husn o ishq ai zindagii bataa ki vo lamhe kidhar ga.e ai 'naqsh' kar rahaa thaa jinhe.n Garq naaKHudaa tuufaa.n ke zor se vo safiine ubhar ga.e