aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1972 | Bhopal, India
dil bhī toḌā to salīqe se na toḌā tum ne
bevafā.ī ke bhī ādāb huā karte haiñ
dil bhi toDa to saliqe se na toDa tum ne
bewafai ke bhi aadab hua karte hain
nāqido tum to mire fan kī parakh rahne do
apne sone ko maiñ pītal nahīñ hone dūñgā
naqido tum to mere fan ki parakh rahne do
apne sone ko main pital nahin hone dunga
tum zamāne ke ho hamāre sivā
ham kisī ke nahīñ tumhāre haiñ
tum zamane ke ho hamare siwa
hum kisi ke nahin tumhaare hain
us ko āvāz do mohabbat se
us ke sab naam pyāre pyāre haiñ
us ko aawaz do mohabbat se
us ke sab nam pyare pyare hain
ye san kar merī nīndeñ uḌ ga.ī haiñ
koī merā bhī sapnā dekhtā hai
ye san kar meri ninden uD gai hain
koi mera bhi sapna dekhta hai
Firaq Ka Jaiza
Urdu Naqqad Ki Haisiyat Se
1995
Manzaraon Ke Darmiyan
2014
Saba Rang Khushboo
Tahzeeb
2020
Wast-e-Hind Mein Urdu Adab
Volume-002
2012
dil bhii to.Daa to saliiqe se na to.Daa tum ne bevafaa.ii ke bhii aadaab hu.aa karte hai.n
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books