Dohe of Makhmoor Saeedi
saaf batā de jo tū ne dekhā hai din raat
duniyā ke Dar se na rakh dil meñ dil kī baat
saf bata de jo tu ne dekha hai din raat
duniya ke Dar se na rakh dil mein dil ki baat
Dūbne vāloñ par kase duniyā ne āvāze
sāhil se kartī rahī tūfāñ ke andāze
Dubne walon par kase duniya ne aawaze
sahil se karti rahi tufan ke andaze
kuchh kahne tak soch le ai bad-go insān
sunte haiñ dīvāroñ ke bhī hote haiñ kaan
kuchh kahne tak soch le ai bad-go insan
sunte hain diwaron ke bhi hote hain kan
tanhā tū rah jā.egā koī na hogā saath
jaise hī ye log haiñ pakaḌ inhī kā haath
tanha tu rah jaega koi na hoga sath
jaise hi ye log hain pakaD inhi ka hath
kaun musāfir kar sakā manzil kā dīdār
palak jhapakte kho ga.e rāhoñ ke āsār
kaun musafir kar saka manzil ka didar
palak jhapakte kho gae rahon ke aasar
ravish ravish par baaġh haiñ kāñTe kaliyāñ phuul
maiñ ne kāñTe chun liye huī ye kaisī bhuul
rawish rawish par bagh hain kanTe kaliyan phul
main ne kanTe chun liye hui ye kaisi bhul