Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Maroof Dehlvi

1748 - 1826 | Delhi, India

Maroof Dehlvi

Sher-o-Shayari 17

dard-e-sar meñ hai kise sandal lagāne dimāġh

us ghisnā aur lagānā dard-e-sar ye bhī to hai

dard-e-sar mein hai kise sandal lagane ka dimagh

us ka ghisna aur lagana dard-e-sar ye bhi to hai

  • Share this

ka.aba-o-dair ko apnā to yahīñ se hai salām

dar-ba-dar kaun phire yaar ke dar ke hote

kaba-o-dair ko apna to yahin se hai salam

dar-ba-dar kaun phire yar ke dar ke hote

terī āñkhoñ ke tasavvur meñ hai sair-e-kaunain

varna ham log idhar ke idhar ho ke rahte

teri aankhon ke tasawwur mein hai sair-e-kaunain

warna hum log idhar ke idhar ho ke rahte

  • Share this

sāqiyā mai kahāñ hai shīshe meñ

raushnī āftāb hai

saqiya mai kahan hai shishe mein

raushni aaftab ki si hai

yahāñ to dāġh-e-ḳhūñ dāman se dhoyā ne ai qātil

vahāñ ik din khilegā gul hamārī be-gunāhī

yahan to dagh-e-KHun daman se dhoya tu ne ai qatil

wahan ek din khilega gul hamari be-gunahi ka

  • Share this

Ghazal 21

BOOKS 4

 

More Authors From "Delhi"

Recitation

Speak Now