Sher of Maya Khanna Raje Barelvi
ik ashk-e-nadāmat se dhul jaate sabhī isyāñ
ik ashk-e-nadāmat tak pahuñchā hī nahīñ koī
ek ashk-e-nadamat se dhul jate sabhi isyan
ek ashk-e-nadamat tak pahuncha hi nahin koi
har shai se ho ke kyoñ na rahe be-niyāz vo
har shai jahāñ meñ jis ko tamāshā dikhā.ī de
har shai se ho ke kyon na rahe be-niyaz wo
har shai jahan mein jis ko tamasha dikhai de
mazāq-e-ḳhud-parastī ek kamzorī hai insāñ kī
bayāñ kar ke haqīqat ye uThāyā hai ziyāñ ham ne
mazaq-e-KHud-parasti ek kamzori hai insan ki
bayan kar ke haqiqat ye uThaya hai ziyan hum ne
nazar kartā nahīñ nashsha-laboñ par
ki jis ke haath paimāne lage haiñ
nazar karta nahin nashsha-labon par
ki jis ke hath paimane lage hain
jo kah rahe the ḳhuun se sīñcheñge gulsitāñ
vo hāmiyān-e-fasl-e-bahārāñ kidhar ga.e
jo kah rahe the KHun se sinchenge gulsitan
wo hamiyan-e-fasl-e-bahaaran kidhar gae
vo aur hoñge jin ko hai fikr-e-ziyān-o-sūd
duniyā se be-niyāz hai merī ġhazal kā rang
wo aur honge jin ko hai fikr-e-ziyan-o-sud
duniya se be-niyaz hai meri ghazal ka rang
jo log aa rahe haiñ tumhāre qarīb-tar
muḌ kar vo sū-e-shām-o-sahar dekhte nahīñ
jo log aa rahe hain tumhaare qarib-tar
muD kar wo su-e-sham-o-sahar dekhte nahin