Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Meer Khaleeq's Photo'

Meer Khaleeq

1766 - 1844 | Lucknow, India

Sher of Meer Khaleeq

misl-e-ā.īna hai us rashk-e-qamar pahlū

saaf idhar se nazar aatā hai udhar pahlū

misl-e-aina hai us rashk-e-qamar ka pahlu

saf idhar se nazar aata hai udhar ka pahlu

sar jhukā letā hai laala sharm se

jab jigar ke daaġh dikhlāte haiñ ham

sar jhuka leta hai lala sharm se

jab jigar ke dagh dikhlate hain hum

naza.a meñ gar mirī bālīñ pe aayā hotā

is tarah ashk maiñ āñkhoñ meñ na laayā hotā

naza mein gar meri baalin pe tu aaya hota

is tarah ashk main aankhon mein na laya hota

ġhaflat meñ farq apnī tujh bin kabhū na aayā

ham aap ke na aa.e jab tak ki na aayā

ghaflat mein farq apni tujh bin kabhu na aaya

hum aap ke na aae jab tak ki tu na aaya

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now