Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Meer Soz

1721 - 1798 | Delhi, India

Prominent contemporary of Mir Taqi Mir, who migrated to Lucknow where Nawab Asifuddaula became his desciple. Known for his unique way of reciting poetry

Prominent contemporary of Mir Taqi Mir, who migrated to Lucknow where Nawab Asifuddaula became his desciple. Known for his unique way of reciting poetry

Sher of Meer Soz

jis tujh habīb hovegā

kaun us raqīb hovegā

jis ka tujh sa habib howega

kaun us ka raqib howega

sar zaanū pe ho us ke aur jaan nikal jaa.e

marnā to musallam hai armān nikal jaa.e

sar zanu pe ho us ke aur jaan nikal jae

marna to musallam hai arman nikal jae

un se aur mujh se yahī shart-e-vafā Thahrī hai

vo sitam Dhā.eñ magar un ko sitam-gar na kahūñ

un se aur mujh se yahi shart-e-wafa Thahri hai

wo sitam Dhaen magar un ko sitam-gar na kahun

rusvā huā ḳharāb huā mubtalā huā

vo kaun ghaḌī thī ki tujh se judā huā

ruswa hua KHarab hua mubtala hua

wo kaun si ghaDi thi ki tujh se juda hua

jis din se yaar mujh se vo shoḳh āshnā huā

rusvā huā ḳharāb huā mubtalā huā

jis din se yar mujh se wo shoKH aashna hua

ruswa hua KHarab hua mubtala hua

ahl-e-imāñ 'soz' ko kahte haiñ kāfir ho gayā

aah rab rāz-e-dil in par bhī zāhir ho gayā

ahl-e-iman 'soz' ko kahte hain kafir ho gaya

aah ya rab raaz-e-dil in par bhi zahir ho gaya

parkār ravish phire ham jitne chal sake

is gardish-e-falak se na bāhar nikal sake

parkar ki rawish phire hum jitne chal sake

is gardish-e-falak se na bahar nikal sake

go nahīñ tanbūr Dholak uThā mutribā

ġhunchoñ ke chaTke pe har bulbul ne gaa.ī hai basant

go nahin tanbur Dholak hi uTha la mutriba

ghunchon ke chaTke pe har bulbul ne gai hai basant

Recitation

Speak Now