Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Mirza Ali Lutf

- 1813

Mirza Ali Lutf

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 15

aaj kyā jaane vo kyuuñ ārām-e-jāñ aayā nahīñ

harf-e-ranjish kal to koī darmiyāñ aayā nahīñ

aaj kya jaane wo kyun aaram-e-jaan aaya nahin

harf-e-ranjish kal to koi darmiyan aaya nahin

  • Share this

baiTh kar masjid meñ rindoñ se na itnā bigaḌiye

shaiḳh-jī aate ho maiḳhāne ke bhī akasr taraf

baiTh kar masjid mein rindon se na itna bigaDiye

shaiKH-ji aate ho maiKHane ke bhi akasr taraf

  • Share this

huā āvāra hindostāñ se 'lutf' aage ḳhudā jaane

deccan ke sāñvloñ ne maarā inglan ke goroñ ne

hua aawara hindostan se 'lutf' aage KHuda jaane

deccan ke sanwlon ne mara ya inglan ke goron ne

  • Share this

ham aur farhād bahr-e-ishq meñ bāham kuude the

jo us ke sar se guzrā aab merī tā-kamar aayā

hum aur farhad bahr-e-ishq mein baham hi kude the

jo us ke sar se guzra aab meri ta-kamar aaya

  • Share this

yaad ne un tañg kūchoñ fazā sahrā dekh

har qadam par jaan maarī hai dil-e-nākām

yaad ne un tang kuchon ki faza sahra ki dekh

har qadam par jaan mari hai dil-e-nakaam ki

Rubai 2

 

BOOKS 14

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now