Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mirza Hadi Ruswa's Photo'

Mirza Hadi Ruswa

1858 - 1931 | Lucknow, India

Sher of Mirza Hadi Ruswa

1.2K
Favorite

SORT BY

dillī chhuTī thī pahle ab lucknow bhī chhoḌeñ

do shahar the ye apne donoñ tabāh nikle

dilli chhuTi thi pahle ab lucknow bhi chhoDen

do shahar the ye apne donon tabah nikle

kyā kahūñ tujh se mohabbat vo balā hai hamdam

mujh ko ibrat na huī ġhair ke mar jaane se

kya kahun tujh se mohabbat wo bala hai hamdam

mujh ko ibrat na hui ghair ke mar jaane se

marne ke din qarīb haiñ shāyad ki ai hayāt

tujh se tabī.at apnī bahut sair ho ga.ī

marne ke din qarib hain shayad ki ai hayat

tujh se tabiat apni bahut sair ho gai

ba.ad tauba ke bhī hai dil meñ ye hasrat baaqī

de ke qasmeñ koī ik jaam pilā de ham ko

baad tauba ke bhi hai dil mein ye hasrat baqi

de ke qasmen koi ek jam pila de hum ko

dekhā hai mujhe apnī ḳhushāmad meñ jo masrūf

is but ko ye dhokā hai ki islām yahī hai

dekha hai mujhe apni KHushamad mein jo masruf

is but ko ye dhoka hai ki islam yahi hai

lab pe kuchh baat aa.ī jaatī hai

ḳhāmushī muskurā.ī jaatī hai

lab pe kuchh baat aai jati hai

KHamushi muskurai jati hai

Talnā thā mere paas se ai kāhilī tujhe

kam-baḳht to aa ke yahīñ Dher ho ga.ī

Talna tha mere pas se ai kahili tujhe

kam-baKHt tu to aa ke yahin Dher ho gai

zarbul-masal hai hote haiñ māshūq be-vafā

ye kuchh tumhārā zikr nahīñ hai ḳhafā na ho

zarbul-masal hai hote hain mashuq be-wafa

ye kuchh tumhaara zikr nahin hai KHafa na ho

unhīñ naam le le kar koī furqat meñ martā hai

kabhī vo bhī to sun leñge jo badnāmī se Darte haiñ

unhin ka nam le le kar koi furqat mein marta hai

kabhi wo bhi to sun lenge jo badnami se Darte hain

ham-nashīñ dekhī nahūsat dāstān-e-hijr

sohbateñ jamne na paa.ī thiiñ ki barham ho ga.iiñ

ham-nashin dekhi nahusat dastan-e-hijr ki

sohbaten jamne na pai thin ki barham ho gain

dil lagāne ko na samjho dil-lagī

dushmanoñ jaan par ban jā.egī

dil lagane ko na samjho dil-lagi

dushmanon ki jaan par ban jaegi

but-parastī meñ na hogā koī mujh badnām

jheñptā huuñ jo kahīñ zikr-e-ḳhudā hotā hai

but-parasti mein na hoga koi mujh sa badnam

jhenpta hun jo kahin zikr-e-KHuda hota hai

ham ko bhī kyā kyā maze dāstāneñ yaad thiiñ

lekin ab tamhīd-e-zikr-e-dard-o-mātam ho ga.iiñ

hum ko bhi kya kya maze ki dastanen yaad thin

lekin ab tamhid-e-zikr-e-dard-o-matam ho gain

hai yaqīñ vo na ā.eñge phir bhī

kab nigah sū-e-dar nahīñ hotī

hai yaqin wo na aaenge phir bhi

kab nigah su-e-dar nahin hoti

hañs ke kahtā hai musavvir se vo ġhārat-gar-e-hosh

jaisī sūrat hai mirī vaisī tasvīr bhī ho

hans ke kahta hai musawwir se wo ghaarat-gar-e-hosh

jaisi surat hai meri waisi hi taswir bhi ho

chand bāteñ vo jo ham rindoñ meñ thiiñ zarbul-masal

ab sunā mirzā ki dard-e-ahl-e-irfāñ ho ga.iiñ

chand baaten wo jo hum rindon mein thin zarbul-masal

ab suna mirza ki dard-e-ahl-e-irfan ho gain

barbād kar ke mujh ko na hoñ munfa.il huzūr

maiñ aap mo'tarif huuñ ki merā qusūr thā

barbaad kar ke mujh ko na hon munfail huzur

main aap mo'tarif hun ki mera qusur tha

dubkī huī thī gurba-sifat ḳhvāhish-e-gunāh

chumkārne se phuul ga.ī sher ho ga.ī

dubki hui thi gurba-sifat KHwahish-e-gunah

chumkarne se phul gai sher ho gai

kis qadar mo'taqid-e-husn-e-mukāfāt huuñ maiñ

dil meñ ḳhush hotā huuñ jab rañj sivā hotā hai

kis qadar mo'taqid-e-husn-e-mukafat hun main

dil mein KHush hota hun jab ranj siwa hota hai

rakh mire ḳhudā ne gunāhoñ mere sharm

zāhid ko apne zohd pe kitnā ġhurūr thā

rakh li mere KHuda ne gunahon ki mere sharm

zahid ko apne zohd pe kitna ghurur tha

khol to aañkh zarā dekh tamāshā kyā hai

vahm hai ki haqīqat hai ye duniyā kyā hai

khol to aankh zara dekh tamasha kya hai

wahm hai ya ki haqiqat hai ye duniya kya hai

mirī betābiyoñ haal ġhairoñ se na kahnā thā

tum aise ho to phir koī kisī rāzdāñ kyuuñ ho

meri betabiyon ka haal ghairon se na kahna tha

tum aise ho to phir koi kisi ka raazdan kyun ho

apne sūrat-gar se pūchhūñ maiñ agar maqdūr ho

kyā banāyā thā mujhe ne miTāne ke liye

apne surat-gar se puchhun main agar maqdur ho

kya banaya tha mujhe tu ne miTane ke liye

jis ko barsoñ hañsī na aa.ī ho

us ko nāseh baat par aa.e

jis ko barson hansi na aai ho

us ko naseh ki baat par aae

usī par munhasir thī zindagī kyā

ghaTā jaatā hai dam zabt-e-fuġhāñ se

usi par munhasir thi zindagi kya

ghaTa jata hai dam zabt-e-fughan se

lazzat-e-ma.asiyat-e-ishq na pūchh

ḳhuld meñ bhī ye balā yaad aa.ī

lazzat-e-masiyat-e-ishq na puchh

KHuld mein bhi ye bala yaad aai

al-hazar ye kaam duniyā meñ tumhīñ se ho sakā

chāhne vaale pe apne khīñchnā shamshīr

al-hazar ye kaam duniya mein tumhin se ho saka

chahne wale pe apne khinchna shamshir ka

shikvoñ meñ bhī andāz na ho husn-e-talab

haañ ai dil-e-betāb rahe paas adab

shikwon mein bhi andaz na ho husn-e-talab ka

han ai dil-e-betab rahe pas adab ka

tangī-e-aish meñ mumkin nahīñ tark-e-lazzat

sūkhe TukḌe bhī to fāqoñ meñ mazā dete haiñ

tangi-e-aish mein mumkin nahin tark-e-lazzat

sukhe TukDe bhi to faqon mein maza dete hain

kahiye kyā āsmān se Thahrī

aap koThe se kyuuñ utar aa.e

kahiye kya aasman se Thahri

aap koThe se kyun utar aae

rakhte haiñ husn-e-zan ye butoñ vafā se ham

jaise ki māñgte haiñ duā.eñ ḳhudā se ham

rakhte hain husn-e-zan ye buton ki wafa se hum

jaise ki mangte hain duaen KHuda se hum

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now