Sher of Miskeen Shah
ḳhafā bhī ho ke jo dekhe to sar nisār karūñ
agar na dekhe to phir bhī hai ik salām se kaam
KHafa bhi ho ke jo dekhe to sar nisar karun
agar na dekhe to phir bhi hai ek salam se kaam
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dair se ka.aba ga.e ka.aba se ma.abadgāh meñ
ḳhaak bhī paayā nahīñ dair-o-haram kī raah meñ
dair se kaba gae kaba se mabadgah mein
KHak bhi paya nahin dair-o-haram ki rah mein
chhoḌ deñ dair-o-haram kufr aur islām ke log
ka.aba-e-dil meñ jo dekheñ mire but-ḳhāna-e-ishq
chhoD den dair-o-haram kufr aur islam ke log
kaba-e-dil mein jo dekhen mere but-KHana-e-ishq
ba.ad muddat gardish-e-tasbīh se 'miskīñ' hameñ
dāna-e-tasbīh meñ zunnār aatā hai nazar
baad muddat gardish-e-tasbih se 'miskin' hamein
dana-e-tasbih mein zunnar aata hai nazar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raah se dair-o-haram kī hai jo kū-e-yār meñ
hai vahī dīñ-dār gar kuffār aatā hai nazar
rah se dair-o-haram ki hai jo ku-e-yar mein
hai wahi din-dar gar kuffar aata hai nazar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download