Sher of Mohammad Be-Nazeer Shah
hue phuul ḳhushk chaman jalā kahīñ naam ko na tirī rahī
yahī apne zaḳhm hare rahe yahī apnī aañkh bharī rahī
hue phul KHushk chaman jala kahin nam ko na teri rahi
yahi apne zaKHm hare rahe yahi apni aankh bhari rahi
musībat meñ āñkheñ khulīñ ab to dekhā
chhupāte haiñ muñh mehrbāñ kaise kaise
musibat mein aankhen khulin ab to dekha
chhupate hain munh mehrban kaise kaise
hamārā imtihāñ karte ho lekin
tumhārā bhī isī meñ imtihāñ hai
hamara imtihan karte ho lekin
tumhaara bhi isi mein imtihan hai