Sher of Munawwr Badayuni
nazar aatī haiñ sū-e-asmāñ kabhī bijliyāñ kabhī āñdhiyāñ
kahīñ jal na jaa.e ye āshiyāñ kahīñ uḌ na jaa.eñ ye chaar par
nazar aati hain su-e-asman kabhi bijliyan kabhi aandhiyan
kahin jal na jae ye aashiyan kahin uD na jaen ye chaar par
'munavār' maiñ ne jab dil par nazar kī
munavvar ik charāġh-e-tūr dekhā
'munawar' main ne jab dil par nazar ki
munawwar ek charagh-e-tur dekha
ilaaj kī nahīñ hājat dil-o-jigar ke liye
bas ik nazar tirī kaafī hai umr-bhar ke liye
ilaj ki nahin hajat dil-o-jigar ke liye
bas ek nazar teri kafi hai umr-bhar ke liye
pīchhe muḌ muḌ kar na dekho ai 'munavār' baḌh chalo
shahr meñ ahbāb to kam haiñ sage bhaa.ī bahut
pichhe muD muD kar na dekho ai 'munawar' baDh chalo
shahr mein ahbab to kam hain sage bhai bahut
jo dil ko de ga.ī ik dard umr-bhar ke liye
taḌap rahā huuñ abhī tak maiñ us nazar ke liye
jo dil ko de gai ek dard umr-bhar ke liye
taDap raha hun abhi tak main us nazar ke liye
ab kunj-e-lahad meñ huuñ mayassar nahīñ aañsū
aayā hai shab-e-hijr kā ronā mire aage
ab kunj-e-lahad mein hun mayassar nahin aansu
aaya hai shab-e-hijr ka rona mere aage