Sher of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
guftugū kī tum se aadat ho ga.ī hai varna meñ
jāntā huuñ baat kartī hai kahīñ tasvīr bhī
guftugu ki tum se aadat ho gai hai warna mein
jaanta hun baat karti hai kahin taswir bhi
fikr-e-ma.āl thī na ġham-e-rozgār thā
ham the jahāñ meñ aur tirā intizār thā
fikr-e-maal thi na gham-e-rozgar tha
hum the jahan mein aur tera intizar tha
dekhnā hai kis meñ achchhī shakl aatī hai nazar
us ne rakkhā hai mire dal ke barābar ā.īna
dekhna hai kis mein achchhi shakl aati hai nazar
us ne rakkha hai mere dal ke barabar aaina
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum aise be-ḳhabar bhī shaaz hoñge is zamāne meñ
ki dil meñ rah ke andāza nahīñ hai dil kī hālat kā
tum aise be-KHabar bhi shaz honge is zamane mein
ki dil mein rah ke andaza nahin hai dil ki haalat ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
fanā hone meñ soz-e-sham.a kī minnat-kashī kaisī
jale jo aag meñ apnī use parvāna kahte haiñ
fana hone mein soz-e-shama ki minnat-kashi kaisi
jale jo aag mein apni use parwana kahte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo nigāh-e-sharmagīñ ho yā kisī kā inkisār
jhuk ke jo mujh se milā vo ek ḳhanjar ho gayā
wo nigah-e-sharmagin ho ya kisi ka inkisar
jhuk ke jo mujh se mila wo ek KHanjar ho gaya
vahshiyoñ ko qaid se chhūTe hue muddat huī
gūñjtā hai shor ab tak kaan meñ zanjīr kā
wahshiyon ko qaid se chhuTe hue muddat hui
gunjta hai shor ab tak kan mein zanjir ka
vo sham.a nahīñ haiñ ki hoñ ik raat ke mehmāñ
jalte haiñ to bujhte nahīñ ham vaqt-e-sahar bhī
wo shama nahin hain ki hon ek raat ke mehman
jalte hain to bujhte nahin hum waqt-e-sahar bhi
banñe lage haiñ daaġh sitāre ḳhushā nasīb
tārīk āsmān shab-e-intizār thā
banne lage hain dagh sitare KHusha nasib
tarik aasman shab-e-intizar tha
tamhīd thī junūñ kī garebāñ huā jo chaak
ya.anī ye ḳhair-maqdam-e-fasl-e-bahār thā
tamhid thi junun ki gareban hua jo chaak
yani ye KHair-maqdam-e-fasl-e-bahaar tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
suntā huuñ ki ḳhirman se hai bijlī ko bahut laag
haañ ek nigāh-e-ġhalat-andāz idhar bhī
sunta hun ki KHirman se hai bijli ko bahut lag
han ek nigah-e-ghalat-andaz idhar bhi
yā dil hai mirā yā tirā naqsh-e-kaf-e-pā hai
gul hai ki ik ā.īna sar-e-rāh paḌā hai
ya dil hai mera ya tera naqsh-e-kaf-e-pa hai
gul hai ki ek aaina sar-e-rah paDa hai