Nazeer Banarasi
Ghazal 25
Nazm 14
Sher-o-Shayari 14
aas hī se dil meñ paidā zindagī hone lagī
sham.a jalne bhī na paa.ī raushnī hone lagī
aas hi se dil mein paida zindagi hone lagi
shama jalne bhi na pai raushni hone lagi
-
Share this
- See Ghazal
dil kī ujḌī huī hālat pe na jaa.e koī
shahr ābād hue haiñ isī vīrāne se
dil ki ujDi hui haalat pe na jae koi
shahr aabaad hue hain isi virane se
-
Share this
- See Ghazal
dūsroñ se kab talak ham pyaas kā shikva kareñ
laao tesha ek dariyā dūsrā paidā kareñ
dusron se kab talak hum pyas ka shikwa karen
lao tesha ek dariya dusra paida karen
-
Share this
- See Ghazal
rāsta roke hue kab se khaḌī hai duniyā
na idhar hotī hai zālim na udhar hotī hai
rasta roke hue kab se khaDi hai duniya
na idhar hoti hai zalim na udhar hoti hai
-
Share this
- See Ghazal
umr bhar kī baat bigḌī ik zarā sī baat meñ
ek lamha zindagī bhar kī kamā.ī khā gayā
umr bhar ki baat bigDi ek zara si baat mein
ek lamha zindagi bhar ki kamai kha gaya
-
Share this
- See Ghazal
Qita 8
Rubai 10
Naat 1
BOOKS 8
Image Shayari 1
mirii saa.nso.n ko giit aur aatmaa ko saaz detii hai ye diivaalii hai sab ko jiine kaa andaaz detii hai hirdai ke dvaar par rah rah ke detaa hai ko.ii dastak baraabar zindagii aavaaz par aavaaz detii hai simaTtaa hai a.ndheraa paa.nv phailaatii hai diivaalii ha.nsaa.e jaatii hai rajnii ha.nse jaatii hai diivaalii qataare.n dekhtaa huu.n chalte-phirte maah-paaro.n kii ghaTaa.e.n aa.nchalo.n kii aur barkhaa hai sitaaro.n kii vo kaale kaale gesuu surKH ho.nT aur phuul se aariz nagar me.n har taraf pariyaa.n Tahaltii hai.n bahaaro.n kii nigaaho.n kaa muqaddar aa ke chamkaatii hai diivaalii pahan kar diip-maalaa naaz farmaatii hai diivaalii ujaale kaa zamaana hai ujaale kii javaanii hai ye ha.nstii jagmagaatii raat sab raato.n kii raanii hai vahii duniyaa hai lekin husn dekho aaj duniyaa kaa hai jab tak raat baaqii kah nahii.n sakte ki faanii hai vo jiivan aaj kii raat aa ke barsaatii hai diivaalii pasiina maut ke maathe pe chhalkaatii hai diivaalii sabhii ke diip sundar hai.n hamaare kyaa tumhaare kyaa ujaalaa har taraf hai is kinaare us kinaare kyaa gagan kii jagmagaahaT pa.D ga.ii hai aaj maddham kyuu.n mu.nDero.n aur chhajjo.n par utar aa.e hai.n taare kyaa hazaaro.n saal guzre phir bhii jab aatii hai diivaalii mahal ho chaahe kuTiyaa sab pe chhaa jaatii hai diivaalii isii din darupadii ne krishn ko bhaa.ii banaayaa thaa vachan ke dene vaale ne vachan apnaa nibhaayaa thaa janam din laxmii kaa hai bhalaa is din kaa kyaa kahnaa yahii vo din hai jis ne raam ko raaja banaayaa thaa ka.ii itihaas ko ek saath dohraatii hai diivaalii mohabbat par vijay ke phuul barsaatii hai diivaalii gale me.n haar phuulo.n kaa charan me.n diip-maalaa.e.n mukuT sar par hai mukh par zindagii kii ruup-rekhaa.e.n liye hai.n kar me.n ma.ngal-ghaT na kyuu.n ghaT ghaT pe chhaa jaa.e.n agar partav pa.De murda-dilo.n par vo bhii jii jaa.e.n ajab andaaz se rah rah ke muskaatii hai diivaalii mohabbat kii lahar nas nas me.n dau.Daatii hai diivaalii tumhaaraa huu.n tum apnii baat mujh se kyuu.n chhupaate ho mujhe ma.aluum hai jis ke liye chakkar lagaate ho banaras ke ho tum ko chaahiye tyauhaar ghar karnaa buto.n ko chho.D kar tum kyuu.n allahabad jaate ho na jaa.o aise me.n baahar 'naziir' aatii hai diivaalii ye kaashii hai yahii.n to rang dikhlaatii hai diivaalii