Sher of Nivesh Sahu
tum ko afsos tumheñ Thiik banāyā na gayā
aur ik ham ki abhī chaak pe rakkhe na ga.e
tum ko afsos tumhein Thik banaya na gaya
aur ek hum ki abhi chaak pe rakkhe na gae
ye gila hai ki hārtā bhī nahīñ
biich meñ khel chhoḌ detā huuñ
ye gila hai ki haarta bhi nahin
bich mein khel chhoD deta hun
agar hotā to ḳhud ko phir banātā
magar afsos kūza-gar nahīñ huuñ
agar hota to KHud ko phir banata
magar afsos kuza-gar nahin hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik sadā āsmāñ se aatī hai
aur maiñ dhyān tak nahīñ detā
ek sada aasman se aati hai
aur main dhyan tak nahin deta
koī qissa nahīñ sunāne ko
kaise bahlā.ūñgā zamāne ko
koi qissa nahin sunane ko
kaise bahlaunga zamane ko
is jangal ke peḌoñ se maiñ vāqif huuñ
gir jaate the jis par saayā karte the
is jangal ke peDon se main waqif hun
gir jate the jis par saya karte the
sochtā huuñ ki tujh ko mujh se koī
hādisa hī bachā ke le jaa.e
sochta hun ki tujh ko mujh se koi
hadisa hi bacha ke le jae
rone lage to kaun hameñ chup karā.egā
so is kī ehtiyāt hai ham ro nahīñ rahe
rone lage to kaun hamein chup karaega
so is ki ehtiyat hai hum ro nahin rahe