Noshi Gilani
Ghazal 23
Nazm 10
Sher-o-Shayari 14
tujh se ab aur mohabbat nahīñ kī jā saktī
ḳhud ko itnī bhī aziyyat nahīñ dī jā saktī
tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti
KHud ko itni bhi aziyyat nahin di ja sakti
-
Share this
- See Ghazal
us shahr meñ kitne chehre the kuchh yaad nahīñ sab bhuul ga.e
ik shaḳhs kitāboñ jaisā thā vo shaḳhs zabānī yaad huā
us shahr mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhul gae
ek shaKHs kitabon jaisa tha wo shaKHs zabani yaad hua
-
Share this
- See Ghazal
maiñ faisle kī ghaḌī se guzar chukī huuñ magar
kisī kā dīda-e-hairāñ mirī talāsh meñ hai
main faisle ki ghaDi se guzar chuki hun magar
kisi ka dida-e-hairan meri talash mein hai
-
Share this
- See Ghazal
jalā.e rakkhūñgī sub.h tak maiñ tumhāre rastoñ meñ apnī āñkheñ
magar kahīñ zabt TuuT jaa.e to bārisheñ bhī shumār karnā
jalae rakkhungi subh tak main tumhaare raston mein apni aankhen
magar kahin zabt TuT jae to barishen bhi shumar karna
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 6
vo baat baat me.n itnaa badaltaa jaataa hai ki jis tarah ko.ii lahja badaltaa jaataa hai ye aarzuu thii ki ham us ke saath saath chale.n magar vo shaKHs to rasta badaltaa jaataa hai rute.n visaal kii ab KHvaab hone vaalii hai.n ki us kii baat kaa lahja badaltaa jaataa hai rahaa jo dhuup me.n sar par mire vahii aa.nchal havaa chalii hai to kitnaa badaltaa jaataa hai vo baat kar jise duniyaa bhii mo'tabar samjhe tujhe KHabar hai zamaana badaltaa jaataa hai