Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq
BOOKS 4
Image Shayari 1
kaun sii vo sham.a thii jis kaa mai.n parvaana hu.aa aur phir lau bhii lagii aisii ki diivaana hu.aa saaqii-e-sar-mast se jab tak ki lene ko ba.Dhuu.n haath se girte hii chaknaa-chuur paimaana hu.aa dil hariim-e-naaz se le kar to ham nikle magar ho gayaa aalam kuchh aisaa sab se begaana hu.aa KHair thii ulfat me.n dil ne rang kuchh badlaa na thaa ab tamaasha dekhiyegaa vo bhii diivaana hu.aa ham ne jaane kyaa kahaa logo.n ne kyaa samjhaa use sarguzisht-e-dard-e-dil thii jis kaa afsaana hu.aa faiz saaqii ne badal dii suurat-e-dil aur hii pahle paimaana thaa paimaana se mai-KHaana hu.aa mere lab tak aate aate kyuu.n chhalak jaataa hai 'shauq' jaam-e-ra.ngii.n saaGar-e-mul yaa ki paimaana hu.aa