- Index of Books 189006
-
-
Book Categories
-
Activities77
Children's Literature2093
Drama1034 Education392 Essays & Profiles1556 Fiction1804 Health110 History3633Humorous755 Journalism220 Language & Literature1967 Letters823
Life Style29 Medicine1052 Movements298 Novel5048 Political378 Religions5058Research & Criticism7423Short-story3027 Sketches289 Social issues121 Sufism / Mystic2303Text Books563 Translation4620Women's writings6298-
Book Categories
- Bait Bazi14
- Catalogue / Index5
- Couplets70
- Deewan1491
- Doha53
- Epics106
- Exegesis212
- Geet67
- Ghazal1412
- Haiku12
- Hamd55
- Humorous37
- Intikhab1687
- Keh mukarni7
- Kulliyat695
- Mahiya20
- Majmua5420
- Marsiya404
- Masnavi896
- Musaddas62
- Naat614
- Nazm1326
- Others83
- Paheli16
- Qasida202
- Qawwali18
- Qit'a75
- Quatrain304
- Quintuple16
- Rekhti13
- Remainders27
- Salaam36
- Sehra12
- shahr-Ashob, Hajw, Zatal Nama20
- Tareekh-Goi31
- Translation71
- Wasokht29
Quotes of Premchand
Daulat se aadmi ko jo izzat milti hai woh uski nahi, uski daulat ki izzat hoti hai.

Main eik mazdoor hoon, jis din kuch likh na loon us din mujhe roti khaane ka koi haq nahi.

Maayoosi mumkin ko bhi na-mumkin bana deti hai.

Sone aur khaane ka naam zindagi nahi hai. Aage badhte rahne ki lagan ka naam zindagi hai.

Shaa'iri ka aala-tareen farz insaan ko behtar banaana hai.

Maazi chaahe jaisa ho uski yaad hamesha khushgawaar hoti hai.

Humein husn ka me'yaar tabdeel karna hoga. Abhi tak uska me'yaar ameeraana aur aish-parwaraana tha.

Aadmi ka sabse bada dushman uska ghuroor hai.

Hindustani, Urdu aur Hindi ki char-diwaari ko tod kar dono mein rabt-zabt paida kar dena chahti hai, taaki dono eik doosre ke ghar be-takalluf aa-ja sakein. Mahaz mehmaan ki haisiyat se nahi, balki ghar ke aadmi ki tarah.

Jo cheez masarrat-bakhsh nahi ho sakti, woh haseen nahi ho sakti.

Sacchi shaa'iri ki tareef ye hai ki tasveer kheench de. Isi tarah sacchi tasveer ki sifat ye hai ki usmein shaa'iri ka maza aaye.

Jawaani pur-josh hoti hai woh ghusse se aag ban jaati hai aur hamdardi se paani.

Jis tarah Angrezon ki zabaan Angrezi, Japan ki Japani, Iran ki Irani, Cheen ki Cheeni hai, isi tarah Hindustaan ki qaumi zabaan ko isi wazn par Hindustaani kahna munaasib hi nahi balki laazmi hai.

Adab ki behtareen taa'reef tanqeed-e-hayaat hai. Adab ko hamaari zindagi par tabsira karna chaahiye.

Aadmi ka sabse bada dushman uska ahankaar hai.

Wo kahaani sabse naaqis samjhi jaati hai jismein maqsad ka saaya bhi nazar aaye.

Qaumi zabaan ke baghair kisi qaum ka wujood hi zahan mein nahi aata.

Fan-kaar ko awaam ki adaalat mein apne har aamaal ke liye jawaab dena hoga.

Hindustan ki qaumi zabaan na to woh Urdu ho sakti hai jo Arabi aur Farsi ke gair-maanoos alfaaz se giraan-baar hai, aur na woh Hindi jo Sanskrit ke saqeel alfaaz se ladi hui hai. Hamaari qaumi zabaan to wahi ho sakti hai jiski buniyaad umoomiyat par qaayem ho.

Hamaari kasauti par woh adab khara utrega jis mein tafakkur ho, aazaadi ka jazba ho, husn ka jauhar ho, taa'meer ki rooh ho, zindagi ki haqeeqaton ki raushni ho. Jo hum mein harkat, hungaama aur bechaini paida kare, sulaaye nahi. Kyunki ab aur ziyaada sona maut ki alaamat hogi.

Aise bahut se log hain jo musawweri se nafrat rakhte hain. Meri nigaah mein aise aadmiyon ki kuch waq'at nahi.

Is waqt Hindustan ko shaa'iri se ziyaada musawwiri ki zaroorat hai. Aise mulk mein jahaan sad'ha mukhtalif zabaanein raaij hain, agar koi aam zabaan raaij ho sakti hai to woh tasveer ki zabaan hai.

Artist hum mein husn ka ehsaas paida kar deta hai aur muhabbat ki garmi. Uska eik fiqra, eik lafz, ek kinaaya is tarah hamaare andar baithta hai ki hamaari rooh raushan ho jaati hai.

Art ka raaz aisi haqeeqat-numaai mein hai jis par asliyat ka gumaan ho.

Hamaare liye woh shaairaana jazbaat be-maa'ni hain, jinse duniya ki be-sibaati hamaare dil par aur ziyaada musallat ho jaaye aur jinse hamaare dilon par maayoosi taari ho jaaye.

Akhlaaqiyaat aur adabiyaat ki manzil-e-maqsood eik hi hai, sirf unke tarz-e-khitaab mein farq hai. Akhlaaqiyaat daleelon aur naseehat se aql aur zahan ko muta'ssir karne ki koshish karti hai. Adab ne apne liye kaifiyaat aur jazbaat ka daaira chun liya hai.

Hum adeeb se ye tawaqqo' rakhte hain ki woh apni bedaar-maghzi, apni wus'at-e-khayaali se hamein bedaar kare. Uski nigaah itni baareek aur itni gahri ho ki humein uske kalaam se ruhaani suroor aur taqwiyat haasil ho.

Har eik zabaan ka eik fitri rujhaan hota hai. Urdu ko Farsi aur Arabi se fitri munasibat hai. Hindi ko Sanskrit aur Praakrit se. Is rujhaan ko hum kisi taaqat se bhi rok nahi sakte, phir in dono ko baaham milaane ki koshish mein kyun in dono ko nuqsaan pahunchaayein.

Adeeb ka mission mahaz nishaat, mahfil-aaraai aur tafreeh nahi hai. Woh siyaasat ke peeche chalne waali haqeeqat nahi balki uske aage masha'al dikhaate hue chalne wali haqeeqat hai.

Bhaarat warsh mein zabaan ki ghaalazat aur bushre ka jhalla-pan hukoomat ka juzv khayaal kiya jaata hai.

Humne samajh rakha hai ki haazir-tabiyat aur rawaan-qalam hi adab ke liye kaafi hai. Hamaari adabi pasti ka baais yahi khayaal hai. Hamein apne adeeb ka ilmi me'yaar uncha karna padega.

join rekhta family!
-
Activities77
Children's Literature2093
-