Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Qurban Ali Salik Beg

1824 - 1880 | Delhi, India

A classical-style poet, who became a disciple of Ghalib after Momin's demise

A classical-style poet, who became a disciple of Ghalib after Momin's demise

Sher of Qurban Ali Salik Beg

hai in dinoñ meñ gardish-e-chashm-e-butāñ daur

terā zamāna gardish-e-daurāñ nikal gayā

hai in dinon mein gardish-e-chashm-e-butan ka daur

tera zamana gardish-e-dauran nikal gaya

ab tak bhī mere hosh Thikāne nahīñ hue

'sālik' haal raat ko aisā sunā ki bas

ab tak bhi mere hosh Thikane nahin hue

'salik' ka haal raat ko aisa suna ki bas

tañg-dastī agar na ho 'sālik'

tandurustī hazār ne.amat hai

tang-dasti agar na ho 'salik'

tandurusti hazar neamat hai

'sālik' chakhā.ūñ un ko mazā jaur abhī

Dartā huuñ kuchh burā na kaheñ sin ke das mujhe

'salik' chakhaun un ko maza jaur ka abhi

Darta hun kuchh bura na kahen sin ke das mujhe

kyā sair ho batā de koī but-kade raah

jaatā huuñ raah ka.abe maiñ pūchhtā huā

kya sair ho bata de koi but-kade ki rah

jata hun rah kabe ki main puchhta hua

sayyād aur qaid-e-qafas se kare rahā

jhūTī ḳhabar kisī uḌaa.ī huī hai

sayyaad aur qaid-e-qafas se kare raha

jhuTi KHabar kisi ki uDai hui si hai

bach gayā tīr-e-nigāh-e-yār se

vāqa.ī ā.īna hai faulād

bach gaya tir-e-nigah-e-yar se

waqai aaina hai faulad ka

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now