Sadiq
Ghazal 9
Nazm 12
Sher-o-Shayari 7
apne gale pe chaltī chhurī kā bhī dhyān rakh
vo tez hai yā kund zarā dhaar dekh le
apne gale pe chalti chhuri ka bhi dhyan rakh
wo tez hai ya kund zara dhaar dekh le
-
Share this
- See Ghazal
fursat ho to ye jism bhī miTTī meñ dabā do
lo phir maiñ zamāñ aur makāñ se nikal aayā
fursat ho to ye jism bhi miTTi mein daba do
lo phir main zaman aur makan se nikal aaya
-
Share this
- See Ghazal
gumāñ na thā ki lifāfe meñ ḳhat ke badle vo
lahū-luhān taḌaptī zabān rakh degā
guman na tha ki lifafe mein KHat ke badle wo
lahu-luhan taDapti zaban rakh dega
-
Share this
- See Ghazal
un kī yaad meñ bahte aañsū ḳhushk agar ho jā.eñge
saat samundar apnī ḳhālī ā.ankhoñ meñ bhar lā.ūñgā
un ki yaad mein bahte aansu KHushk agar ho jaenge
sat samundar apni KHali aaankhon mein bhar launga
-
Share this
- See Ghazal
uThā hī laayā sabhī rāste vo kāñdhoñ par
yaqīn us pe na kartā to maiñ kidhar jaatā
uTha hi laya sabhi raste wo kandhon par
yaqin us pe na karta to main kidhar jata
-
Share this
- See Ghazal