Dohe of Saghar Jayyadi
ye bastī hai raḳhnoñ kī jīvan nahīñ sapāT
ḳhair ke naam pe ai zabāñ shar ke talve chaaT
ye basti hai raKHnon ki jiwan nahin sapaT
KHair ke nam pe ai zaban shar ke talwe chaT
chauñk uThegī niiñd se aaj har ik shāh-rāh
mulāzimoñ kī jeb meñ bajtī hai tanḳhvāh
chaunk uThegi nind se aaj har ek shah-rah
mulazimon ki jeb mein bajti hai tanKHwah
be-daulat ke shahr meñ kaun hai daulat-mand
saarī ḳhilqat asl meñ miTTī kā paivand
be-daulat ke shahr mein kaun hai daulat-mand
sari KHilqat asl mein miTTi ka paiwand
gaañv kī gorī dosto jab se huī javān
nis-din baniyā hoñToñ par pher rahā hai zabān
ganw ki gori dosto jab se hui jawan
nis-din baniya honTon par pher raha hai zaban