Saleem Kausar
Ghazal 57
Nazm 19
Sher-o-Shayari 49
kaise hañgāma-e-fursat meñ mile haiñ tujh se
ham bhare shahr kī ḳhalvat meñ mile haiñ tujh se
kaise hangama-e-fursat mein mile hain tujh se
hum bhare shahr ki KHalwat mein mile hain tujh se
-
Share this
- See Ghazal
pukārte haiñ unheñ sāhiloñ ke sannāTe
jo log Duub ga.e kashtiyāñ banāte hue
pukarte hain unhen sahilon ke sannaTe
jo log Dub gae kashtiyan banate hue
-
Share this
- See Ghazal
tum to kahte the ki sab qaidī rihā.ī pā ga.e
phir pas-e-dīvār-e-zindāñ rāt-bhar rotā hai kaun
tum to kahte the ki sab qaidi rihai pa gae
phir pas-e-diwar-e-zindan raat-bhar rota hai kaun
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 3
Image Shayari 6
milnaa na milnaa ek bahaana hai aur bas tum sach ho baaqii jo hai fasaana hai aur bas logo.n ko raaste kii zaruurat hai aur mujhe ik sa.ng-e-rahguzar ko haTaanaa hai aur bas masruufiyat ziyaada nahii.n hai mirii yahaa.n miTTii se ik charaaG banaanaa hai aur bas so.e hu.e to jaag hii jaa.e.nge ek din jo jaagte hai.n un ko jagaanaa hai aur bas tum vo nahii.n ho jin se vafaa kii umiid hai tum se mirii muraad zamaana hai aur bas phuulo.n ko Dhuu.nDtaa hu.aa phirtaa huu.n baaG me.n baad-e-sabaa ko kaam dilaanaa hai aur bas aab o havaa to yuu.n bhii miraa mas.ala nahii.n mujh ko to ik daraKHt lagaanaa hai aur bas nii.ndo.n kaa rat-jago.n se ulajhnaa yuu.nhii nahii.n ik KHvaab-e-raa.egaa.n ko bachaanaa hai aur bas ik vaa'da jo kiyaa hii nahii.n hai abhii 'saliim' mujh ko vahii to vaa'da nibhaanaa hai aur bas