Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sarfaraz Khalid's Photo'

Sarfaraz Khalid

1980 | Aligarh, India

Prominent upcoming poet

Prominent upcoming poet

Sarfaraz Khalid

Ghazal 18

Nazm 4

 

Sher-o-Shayari 47

dil jo TuuTā hai to phir yaad nahīñ hai koī

is ḳharābe meñ ab ābād nahīñ hai koī

dil jo TuTa hai to phir yaad nahin hai koi

is KHarabe mein ab aabaad nahin hai koi

  • Share this

ham kisī aur vaqt ke haiñ asiir

sub.h ke shaam ke rahe nahīñ

hum kisi aur waqt ke hain asir

subh ke sham ke rahe hi nahin

  • Share this

maiñ apne-āp se aage nikal gayā huuñ bahut

kisī safar ke havāle ye jism-o-jāñ kar ke

main apne-ap se aage nikal gaya hun bahut

kisi safar ke hawale ye jism-o-jaan kar ke

  • Share this

raunaq-e-bazm nahīñ thā koī tujh se pahle

raunaq-e-bazm tire ba.ad nahīñ hai koī

raunaq-e-bazm nahin tha koi tujh se pahle

raunaq-e-bazm tere baad nahin hai koi

  • Share this

siyāh raat ke pahlū meñ jism ke andar

kisī gunāh ḳhvāhish ko pālte rahnā

siyah raat ke pahlu mein jism ke andar

kisi gunah ki KHwahish ko palte rahna

  • Share this

RELATED Authors

More Authors From "Aligarh"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now