Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shafiqur Rahman's Photo'

Shafiqur Rahman

1920 - 2000 | Rawalpindi, Pakistan

A celebrated humorist, satirist, and short story writer, known for his individual tone of voice.

Quotes of Shafiqur Rahman

Dar-asl shaadi ek lafz nahi poora fiqra hai.

Ye mard Everest par chadh jaayein, samundar ki tah tak pahunch jaayein, khwaah kaisa hi na-mumkin kaam kyun na kar lein, magar aurat ko kabhi nahi samajh sakte. Baaz-auqaat aisi ahmaqaana harkat kar baithte hain ki achhi bhali mohabbat nafrat mein tabdeel ho jaati hai, aur phir aurat ka dil... eik thes lagi aur bas gaya. Jaante hain ki hasad aur rashk to aurat ki sarisht mein hai. Apni taraf se bade chaalaak bante hain magar mard ke dil ko aurat eik hi nazar mein bhaanp jaati hai.

Jaante ho aurat ki umr ke chhe hisse hote hain: Bachchi, ladki, nau-umr khatoon, phir nau-umr khatoon, phir nau-umr khatoon, phir nau-umr khatoon.

Mera zaati nazariya to yahi hai ki eik tandurust insaan ko mohabbat kabhi nahi karni chaahiye. Aakhir koi tuk bhi hai is mein? Khwaah-ma-khwaah kisi ke muta'alliq sochte raho, khwaah woh tumhein jaanta hi na ho. Bhala kis formula se saabit hota hai ki jise tum chaaho woh bhi tumhein chaahe. Miyaan ye sab man-gadhat qisse hain. Agar jaan-boojh kar khabti banna chaahte ho to bismillah kiye jao muhabbat. Hamaari raaye to yahi hai ki sabr kar lo.

Ladaai aur imtihaan ke nateeje ka kuch pata nahi hota.

Ajeeb si baat hai ki log mote-taaze aadmiyon ko muhabbat se mustasna qaraar dete hain. Wo ye tasavvur mein la hi nahi sakte ki eik insaan jis ka wazan adhaai man se ziyaada ho, jiski do thodiyan hon, jiski tond tuloo' ho rahi ho, uske dil mein bhi muhabbat ka jazba sama sakta hai. Umooman yahi socha jaata hai ki is size aur is number ke aadmi hamesha khaane-peene ki cheezon ke muta'alliq sochte rahte hain. Chunaanche eik farba khatoon ko sureeli aawaaz mein dard-naak gaana gaate dekh kar bajaaye rone ke hansi aati hai aur dil mein yahi khayaal aata hai ki ab ye gaana gaa kar fauran ek bhaari sa naashta tanaawul farmaayengi aur chand dakaaren lene ke baad maze se so jaayengi. Uthenge to phir khaayengi.

Agar isi tarah har baat mein ghareeb samaaj ko qasoor-war thahraya gaya to woh din door nahi jab kisi ko bukhaar chadhega to woh munh bisoor kar kahega ki ye samaaj ka qasoor hai. Koi kamzor hua to kahega ki ye samaaj ki buraai hai, aur agar koi bahut mota ho gaya to bhi samaaj hi ko kosa jaayega. Na-laaeq ladke imtihaan mein fail hone ki wajah samaaj ki khokhli buniyadon ko qaraar denge. Yahan tak ke gaaliyaan bhi yun di jaayengi ki: 'Khuda kare tujh par samaaj ka zulm toote.'

Aksar hazraat afsaane ko padhne se pahle safahaat ko jaldi se ulat-palat kar dekhte hain, aur agar unhein kaheen samaaj ka lafz nazar aa jaaye to woh fauran afsaana chhod dete hain. Poochha jaaye ke ye kyun? To jawaab milta hai, 'Janab, iska plot to pahle hi maaloom ho gaya. Yaqeen na ho to sun lijiye!' Iske baad wo plot bhi suna denge jo qareeb-qareeb sahi hi niklega.

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now