Sher of Shahid Ahsan Moradabadi
terī zulfeñ tire aariz tirī āñkheñ tire lab
maiñ zamīñdār huuñ ye sab mirī jāgīreñ haiñ
teri zulfen tere aariz teri aankhen tere lab
main zamindar hun ye sab meri jagiren hain
sone vāloñ ko jagānā to hai āsān magar
jāgne vāloñ ko kis tarah jagāyā jaa.e
sone walon ko jagana to hai aasan magar
jagne walon ko kis tarah jagaya jae
zindagī biit ga.ī ginte hue tārīḳheñ
khā ga.ī vaqt kī dīvār calendar kitne
zindagi bit gai ginte hue tariKHen
kha gai waqt ki diwar calendar kitne
ye baat munsifoñ meñ abhī zer-e-ġhaur hai
patthar ko maiñ lagā huuñ ki patthar lagā mujhe
ye baat munsifon mein abhi zer-e-ghaur hai
patthar ko main laga hun ki patthar laga mujhe